Farishtay Jis Kay Zaa'ir Hain Madinay Main Woh Turbat Hay
Yeh Woh Turbat Hay Jis Ko `Arsh e A`zam Par Fazeelat Hay!
Bhala dasht e Madinah say chaman ko koi nisbat hai;Madinay ki fazaa rashk e bahaar e baagh e jannat hai.
Madinah ghaar salamat hay to phir sab kuch salamat hai;
Khuda rakhay Madinay ko, issi ka damm ghaneemat hai.
Madinah aisa gulshan hai jo har gulshan ki zeenat hai;bahaar e baagh e jannat bhi Madinay ki ba-dawlat hai.
Madinah chor kar sayr e jinaa(n) ki kya zaroorat hai;
yeh jannat say bhi behter hai yeh jeete jee ki jannat hai.
Humeein(n) kya Haqq ta'aala ko Madinay say muhabbat hai;Madinay ki muhabbat un say ulfat ki `alaamat hai
Ilahi!! Woh Madinay Kaisi Basti Hay Dikhaa-Dayna;Jahaa(n) Rahmat Barasti Hay Jahaa(n) Rahmat Hi Rahmat Hay.
Madinah Chor Kar Jannat Ki Khushboo Mil Nahi(n) Sakti;Madinay Say Mahabbat Hay To Jannat Ki Zamanat Hay.
Zamee(n) Pur Woh Muhammad Hain, Woh Ahmad Asmaano(n) Main;Yahaa(n) Bhi Un Ka Charcha Hay - Wahaa(n) Bhi Un Ki MidHat Hay.
Yahaa(n) Bhi Un Ki Chalti Hay, Wahan Bhi Un Ki Chalti Hay;Madinah Raajdhaani Hay Do `Aaalam Pur Hukoomat Hay!
Ghazab Hi Kardiya AKHTAR, Madinay Say Chalay Aa'aey;Yeh Woh Jannat Hay Jis Ki `Arsh Waalo(n) Ko Bhi Hasrat Hay.
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...