Faiz hum sunniyo ko Raza ka
Mil raha "tha" mila hai milega
Unke dar se karam ka khazana
Bat raha tha bata hai batega
Naam lete rahenge Raza ka
Kaam chalta rahega gada ka
Apna bigra huwa kaam unse
Ban raha tha bana hai banega
Khoob hai zaat Ahmed Raza ki
Khoob har baat Ahmed Raza ki
Nuqs koi Raza meiN adu ko
Na mila tha mila hai milega
Martaba jo Raza ka "ghataye"
Apna rutba Raza se "barrhaye"
Aisa gad'daar dunya ke aage
Gir "gaya" "tha" gira hai girega
Jo mukhalif Raza ka huwa hai
Kis tarah se wo sunni bana hai
Aise jaahil se shaitan ka dil
Khush huwa "tha" huwa hai rahega
Is zamaan-e-ka har sacha Aalim
Mere Ahmed Raza ka hai khadim
Unki azmat ka har simt danka
Baj raha tha baja hai bajega
Jo burayi meiN unki laga hai
Ahle sunnat se bilkul juda hai
Naam gustaakh ka is jahaN se
Mit gaya "tha" mita hai mitega
Jinki Niyyat hai dowlat kamana
Apni peeri ka halqa bharana
Aise peeroN ka sar laanatoN se
Jhuk gaya tha jhuka hai jhukega
Kya samajh paayega wo Raza ko
Jo na samjha hai Akhtar Raza ko
Razaviyat ka pata Azhari se
Mil raha "tha" mila hai milega
Ye karam ham pe "hai" Awliya ka
Ishq waaloN meiN hai naam apna
AalaHazrat ki Dawood midhat
Kar raha tha kiya hai karega
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...