Meeran Waliyon Ke Imam De Do Panjatan Paak ke Naam
Mein Ne Jhooli Hai
Phelayi Bari Der Se
Daalo Nazar-e-Karam
Sarkaar Apne Mangton Par Ik Baar
Mein Ne Aas Hai Lagayi
Bari Der Say
Dil Ki Kali Meri Aaj Khili Hai
Aap Aaye Hain Khabar Mili Hai
Zara Zara Dheere Dheere Aao Lillah Karam Farmao
Mein Ne Mehfil Hai Sajayi Bari Der Se
Aap Aaye Hain Khabar Mili Hai
Zara Zara Dheere Dheere Aao Lillah Karam Farmao
Mein Ne Mehfil Hai Sajayi Bari Der Se
Qalb-O-Nazar Mein Noor Samaya
Aik Suroor Sa Zehen Pe Chahya
Jab Meeran Lagay Pilanay Meray Hosh Lagay Thikanay
Aisi Pee Hai Mein Ne Maaye Dastageer Se
Aik Suroor Sa Zehen Pe Chahya
Jab Meeran Lagay Pilanay Meray Hosh Lagay Thikanay
Aisi Pee Hai Mein Ne Maaye Dastageer Se
Tum Jo Banao Baat Banay Gi
Dono Jahan Mein Laaj Rahay Gi
Lajpaal Karam Ab Kardo Mangton Ki Jholi Bhar Do
Bhar Do Kaasa Mera Punjatany Khair Se
Dono Jahan Mein Laaj Rahay Gi
Lajpaal Karam Ab Kardo Mangton Ki Jholi Bhar Do
Bhar Do Kaasa Mera Punjatany Khair Se
Rootay Rootay Umar Guzari
Kab Ayegi Apni Baari
Zara Jalwa Humein Dikha Do Mere Dil Ki Kali Khila Do
Mein Ne Bipta Hai Sunayi Bari Der Say
Kab Ayegi Apni Baari
Zara Jalwa Humein Dikha Do Mere Dil Ki Kali Khila Do
Mein Ne Bipta Hai Sunayi Bari Der Say
Mushkil Jab Bhi Sar Pe Aayi
Teri Rehmat Aaray Aayi
Jab Mein Ne Tumhe Pukara Kaam Aaya Tera Sahara
Chalta Aaasi Ka Guzara Teri Khair Se
Teri Rehmat Aaray Aayi
Jab Mein Ne Tumhe Pukara Kaam Aaya Tera Sahara
Chalta Aaasi Ka Guzara Teri Khair Se
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...