Arze Jannat Kaun Chahe Arze Taibah Dekhkar,
Unka Rauza Dekhkar Kaabe Ka Kaaba Dekhkar.
Ruk Gaye Jibrail Jab Miqat-e-Sidra Dekhkar,
Badne wale Badh Gaye Qurbat Ka Lamha
Dekhkar.
Banke Shamshir-e-Mujassam Ibn-e-Khattab Aaye
The,
Apna Sauda Kar Gaye AAQA Ka Chehra Dekhkar.
Hazrat-e-Jabir Ka Imaan Aur Pukhta Ho Gaya,
Senkdo Haatho Me Barkat Ka Niwala Dekhkar.
Aaya Tha Shaitan Per Mayus Hokar Chal Diya,
Mere Dil Par Ulfat-e-Ahmed Ka Pehra Dekhkar.
Mujko Jannat Khud Bulayegi Yahi Ummid Hai,
Meri Gardan Me Pada Barkaati Patta Dekhkar.
Zair-e-Raah-e-Madina Tujhko Kuch Maloom Hai,
Rashq Karti Hai Iram Tera Irada Dekhkar.
Naatgoi Nazmi Ne Sikhi Hasan-ul-Hind Se,
Naat Kehte the Bareily me Jo Taibah Dekhkar...
- - -
Written by: Huzoor Najib Miya (Daamat Barkaatuhumul Aaliya)
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...