Payaam leke jo aayi sabaa MADINE se,
Mareez e ishq ki laayi dawaa MADINE se,
Suno to gaur se aayi sadaa MADINE se,
Kareen hai rehmat o fazl e KHUDA MADINE se,
Mile hamaare bhi dil ko jila MADINE se,
Ke Mehr o Maah ne paayi zia MADINE se,
TUMHAARI ek jhalak ne kiya use dilkash,
Farog husn ne paayi SHAHA MADINE se,
Tamaam shaaho gadaa pal rahe hai us dar se,
Mili jahaan ko rozi sadaa MADINE se,
Jo aaya le ke gaya kaun lauta khaali haath,
Bataa de koi suna ho jo "LAA" MADINE se,
Bataa de koi kisi aur se bhi kuch paaya,
Jise mila jo mila woh mila MADINE se,
Wo aaya Khuld me jo aa gaya MADINE me,
Gayaa woh Khuld se jo chal diya MADINE se,
Na chain paayega ye gamzadaa kisi soorat,
Mareez e gam ko milegi shifa MADINE se,
Lagao dil ko na duniya me har kisi shae se,
Ta'alluk apna ho KAABE se ya MADINE se,
Chaman se phool khile murda dil bhi ji uthe,
Naseem khuld se aayi hai ya MADINE se,
MADINA chashma e aabe hayaat hai yaaron,
Chalo hamesha ki le lo bakaa MADINE se,
Hamaare dil ko to bhaaya hai TAIBA hi zaahid,
Tumhe hai MAKKAH to hoga siwa MADINE se,
Chale jo TAIBA se muslim to Khuld me pahonche,
Ki seedha Khuld ka hai raasta MADINE se,
TUMHAARE kadmon pe sar sadke jaan fidaa ho jaaye,
Na laaye phir mujhe mera KHUDA MADINE se,
TERE HABEEB ka pyaara chaman kiya barbaad,
ILAAHI nikle ye najdi balaa MADINE se,
Tere naseeb ka NOORI milega tujhko bhi,
Le aaye hissa ye Shaah O Gadaa MADINE se.
- - -
Written by: Huzoor Mufti e A'zam Alaihir Rahma
subhanallah
ReplyDeleteSubhan Allah Kalam e Huzur Mufti e Aazam e Hind
ReplyDeleteSubhan Allah
ReplyDelete