Saba ka seena bane safeena
Zara tabiyat rawa(n) dawa(n) ho
Hawa mein khushbu ke daairay hon
Khalaa mein kirno(n) ka saa'iba(n) ho
Zamee(n) zamurd ugal rahi ho
Gulab gulnaar asmaa(n) ho
Har aik konpal kanwal uchalay
Kali Kali kanz e kun fikaa(n) ho
Chaman ke seenay pe fasl e Gul ka
Nishaa(n) Ba andaz e kehkshaa(n) ho
Jabeen e konain Panjtan ke
Karam se firdos e ins o jaa(n) ho
Sabhi samandar hon mere bas mein
Shajjar shajjar mera razdaa(n) ho
Durood ki anjuman sajaou(n)
Dahn mein Jibrail ki zubaa(n) ho
Khayal ho salsbeel jaisa
Jal'oo mein lafzo(n) ka karwa(n) ho
Chaman sajaou(n) mein Hal Ataa ka
Mahabbato(n) se bhara jahaa(n) ho
Kahin Qabila ho Auliya ka
Kahin pe Behlol ki dukaa(n) ho
Bicha ke masnad basharto(n) ki
Dilo(n) pe Idraak meherba(n) ho
Mein apni socho(n) ko aab e Kausar
Ghusl de don to imtihaa(n) ho
Parhon mein Tasbeeh e Fatimah jab
To kaaba e Fikr mein Azaa(n) ho
Agar yeh sab muyassar ho to
Madh e Shahensha e mashrqain likhon
Haya ki takhti pe apni palkon se
Phir mein Lafz e Hussain Likhon
Hussain Kya hai khayal khaima
Khuloos khamaa(n) khirad khanaza
Hussain Kya hai Zameer e zam zam
Khameer a kausar , karam nishana
Hussain Kya hai tamam Nabiyun ke
Deen e mohkam ka aab o dana
Hussain Kya hai muheet e Aalam
Musheer e mussal , mah e zamana
Hussain Kya hai thakay huway
Deen Ke dard ka akhiri thikana
Hussain Kya hai tamam
Ghairat ki awaz e ghaziyana
Hussain Kya hai yazidiyat ke
Badan par Ibrat ka Taziyana
Hussain woh hai ke Jeeb ( zuban) jis ko
Adab se jhuk kar Salam kar le
Hussain woh hai jo nok e nayza pe
Khud khuda se kalam kar le
Hussain abb bhi Samajh raha hai
Yazidiyat ke Sabhi isharay
Hussain abb bhi sairab kar raha hai
Apny lahoo se falak kinaray
Hussain abb bhi saja Raha hai
Zameen pe shams o Qamar sitaray
Hussain abb bhi badal raha hai
Sitam ki tughyaniyun ke dhaaray
Hussain abb bhi suna raha hai
Sinaa(n) pe Quran ke dard paaray
Hussain abb bhi sanbhal sanbhal ke
Bacha raha hai Sabhi saharay
Hussain abb bhi luta raha hai
Nabi ke deen par saj'al dularay
Hussain abb bhi yeh Chahta hai
Ke mushkilon mein koi pukaray
Yadiyun ko yeh wehm kiyun hai
Ke sirf ik din hisab ho ga
Hussain se jo jahan bhi uljhy
Wohi pe khana kharab ho ga
WOHI PE KHANA KHARAB HO GA
Mashallah
ReplyDelete