Kon kehta hay ke zeenat khuld ki achi nahin
Laikin aay dil furqate kooe Nabi achi nahin
Laikin aay dil furqate kooe Nabi achi nahin
Rehm ki Sarkaar main pursish hay aison ki bohat
Aay dial acha hay ager haalat meri achi nahin
Teera dil ko jalwae maahe arab darkaar hay
Chodween ke chaand Teri chaandni achi nahin
Kuch khabber hay main burra hoon kaisay achon ka burra
Mujh burray pay zaahido tana zanee achi nahin
Uss galli say door reh kar kia marrain hum kia jeeain
Aah aaisee mowt aaisee zindagi achi nahin
Un ke dar ki bheek chorain Sarwari Ke waasitay
Un ke dar ki bheek achi sarwari achi nahin
Khaak un ke aastaanay ki mangaa day chaarah gar
Fikr kia haalat ager beemar ki achi nahin
Saayah deewaare jinaa main ho bistar khaak par
Aaarzooe taaj O takhte khusrawi achi nahin
Baare isyaan ki taraqqi say hua hoon jaan bilab
Mujh ko acha kijiyay haalat meri achi nahin
Zarra e Taiba Ki Tal'at Ke Muqaabil Ae Qamar!
Ghat-ti Bhar-ti Chaar Din Ki Chaandni Achhi Nahin
Mosame gul kyoon dikhaay jaatay hain yeh sabz baagh
Dashte Taybah jaain gay hum rahzani achi nahin
Bay kason par meherbaan hay rahmate baykas nawaaz
Kon kehta hay humaari baykassi achi nahin
Bandae Sarkaar ho phir kar khuda ki bandagi
Warna aay banday khuda ki bandagi achi nahin
Roosia hoon moon ujaala kar day aay Tayba kay chaand
Iss andheray paakh ki yeh teergi achi nahin
Khaar haay dashte Tayba chubh gayay dil main meray
Aarize gul ki baahar aarzi achi nahin
Subhe mehshar chonk aay dil jalwae Mahboob dekh
Noor ka tarka hay pyaaray kaahili achi nahin
Un ke darr pay mowt aa jaay to jee jaaoon Hasssan
Un ke darr se door reh kar zindagi achi nahin
Written by: Ustadh e Zaman, Mawlana Hasan Raza Khan (Rahimahullah)
very beautiful kalam thanks for uploading
ReplyDeleteSub Han ALLAH
ReplyDeleteKya khubsurat kalam likha gea hai..
ALLAH pak behisab ajar dy Molana Hassan Raza brelvi ko aameen
Awesome work thank you so much for this lyrics
ReplyDelete