Zehen ke gande, kirdaar ke anjas, par Tahir kehlatey ye hain
Mohlik amraaz ke hain haamil, doctor khud ko jataatey ye hain
Raahe Qur’an naam hain rakhtey, raastey se behkaatey ye hain
Minhaaj ush-Shaytaan ke hain baani, Quran se door le jaatey ye hain
Jaisi mehfil waisi rangat, girgit ko sharmaatey ye hain
Jis hakim ne in ko nawaaza, adaawat us se rakhaatey ye hain
Sunniyat ka jaam dikhakar, zahar ka piyaala pilaatey ye hain
Apni saakh banaani ho jab, jhootey khwaab sunaatey ye hain
Nabi ko bhi mohtaaj batatey, saath ticket dilwaatey ye hain
Taqleed ke dawe jhootey saare, imaamon se takraatey ye hain
Bu Hanifaah ke khwaab me tilmeez, daadhi chhoti rakhaatey ye hain
Rafzi, Wahabi, Deobandi ko, apna Imaam banaatey ye hain
Maan ko jo hain gaali detey, apna bhai bataatey ye hain
Muawiyah per taaney kastey, kis ko dost rakhaatey ye hain
Allah Rasool ko jin se nafrat, un ko gale lagaatey ye hain
Allah Nabi se jin ko adawat, un se mohabbat badhaatey ye hain
Mandir mein Girjaaon mein, tazeem se sar jhukaatey ye hain
Holi kheltey rang udaatey, Diwali, Christmas rachaatey ye hain
Najis jagah par buton ke aage, Meelad e Nabi manaatey ye hain
Pak Nabi ke naam ke baraabar, Omm bhi likhwaatey ye hain
Gumbad e Khizra ke saaath, saleeb ko sajaatey ye hain
Nabi ne Haram se jin ko nikaala, masjid me ghusaatey ye hain
Masjiden to Allah ke ghar hain, us mein saleeb laatey ye hain
Quran ne kaha hai jin ko kaafir, un ko Momin bataatey ye hain
Shaatim e Rasool se in ki mawaddat, us gey geet gaatey ye hain
Hubb e Rasool me hue jo Mumtaaz, un par khoob gurraatey ye hain
Tauheen e Nabi ki dekar ijazat, kaafir ko behlaatey ye hain
Tauheen ki ijaazat aisi detey, Deoband ko sharmaatey ye hain
Quran o Nabi ka naam lekar, shirk ki mehfil sajaatey ye hain
Padri, Pandit, Sikh o Saadhu, sab ko sar pe bithaatey ye hain
Veda, Granth, Injeel o Taurah, Quraan se milaatey ye hain
Khalq me hain jo sab se bad-tar, un ka waqaar badhaatey ye hain
Allah Rabbe Ul-Izzat par bhi, kya kya naam chhadaatey ye hain
Shiva Shankar, Ram o Krishna, sab naam Ilaah ke bataatey ye hain
Omm, Ganesh, har but ki pooja, apne izn se karaatey ye hain
Pukaaro tum jis ko bhi chaaho, shirk par yun uksaatey ye hain
Kufr se raazi, shirk se raazi, ilzaam Nabi per lagaatey ye hain
Nabi ke qaul ko pesh karkey, us mein jhoot milaatey ye hain
Deen e Akbar ke hain mujaddid, sab adyaan ko milaatey ye hain
Ay Insaan chhod Minhaaj ushShaytaan, hum tujh ko samjhaatey ye hain
Ya Rabb tu hai mera Haami, Aaqib ko kab daraatey ye hain?
Written by: Aqib Farid
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...