Payaam le ke jo aayi sabaa Madine se Marize ishq ki laayi dawaa Madine se
Suno to ghaur se aayi sadaa Madine se Qareen he Rahmat-o-fadhle Khuda Madine se
Mille Hamaare bhi dil ko jilaa Madine se Ke mahr-o-maah ne paayi zia Madine se
Jo aaya le ke gayaa kaun louta khaali haath Bataade koyi sunaa ho jo “laa” Madine se
Woh aagayaa khuld me jo aa gayaa Madine me Gayaa wo khuld se jo chal diyaa Madine se
Madina chasma-e-aabe hayaat he yaaro Chalo hamesha ki le lo baqaa Madine se
Chale jo Tayba se Muslim to khuld me pohonche Ke seedhaa khuld ka he raasta Madine se
Tumhaare Qadmo pe sar sadqe jaan fida hojaye Na laaye phir mujhe mera Khuda Madine se
Tere Habeeb ka pyaara chaman kiya barbaad Ilaahi nikle ye Najdi balaa Madine se
Tere naseeb ka Noori milega tujh ko bhi Le aa’e hissa ye shaaho Gadaa Madine se
Tere karam kay bharose ye arz karta hoon,
ReplyDeleteNa jaayega tera Akhtar Raza Madinay say!