Shuja’ath Naaz Karthi Hai Jalaalath Naaz Karthi Hai
Woh Sultaane Zamaan Hein Un Pe Shaukath Naaz Karthi Hai
Sadaaqath Naaz Karthi Hai Amaanath Naaz Karthi Hai
Humiyyath Naaz Karthi Hai Murawwath Naaz Karthi Hai
Shahe Khoobana Pe Har Khoobi-O Khaslath Naaz Karthi Hai
Kareem Aise Hein Woh Un Par Karaamath Naaz Karthi Hai
Jahaan E Husn Me Bhi Kuch Niraali Shaan Hai Un Ki
Nabi Ke Gul Pe Gulzaarown Ki Zeenath Naaz Karthi Hai
Shehanshaahe Shaheedaan Ho Anokhi Shaan Waale Ho
Husein Ibne Ali Thum Par Shahaadath Naaz Karthi Hai
Bit’ha Kar Shaana E Aqdas Pe Kardi Shaan Do Bala
Nabi Ke Laadlown Par Har Fazeelath Naaz Karthi Hai
Nigaah E Naaz Se Naqsha Badal Deythe Hein Aalam Ka
Adaa-E Sarware Khoobaan Pe Nudrath Naaz Karthi Hai
Fidaa-I Hoon Tho Kis Ka Hoon Koi Dekhe Meri Qismath
Qadam Par Jis Haseen Ke Jaane Thal’ath Naaz Karthi Hai
Khuda Ke Fazl Se Akhthar Mai Unka Naam Lewa Hoon
Mai Hoon Qismath Pe Naazaan Mujh Pe Qismath Naaz Karthi Hai
Written by: Huzoor Taaj ush Shariah, Mufti Akhtar Raza Khan
0 comments:
Post a Comment
Enter your Comment here...