Ads 468x60px

Dec 30, 2019

Ya Nabi Wajood Aap Ka [Lyrics]

Ya Nabi Wajood Aap Ka 
Haasil e Bahar Hogaya
Aapke Qadam Ko Choom Kar
Khaar Khushboodar Hogaya 

Ek Nigaah e Mustafa Pari
Teer Dil Ke Paar Hogaya 
Qatl Karne Aaye The Umar
Mustafa Se Pyaar Hogaya

Gawth Ki Ye Shaan Dekhiye 
Ba-Asar Zubaan Dekhiye 
"Qum Bi Izni" Aap Ne Kaha
Murda JaanDaar Hogaya

Dhikr e Khwaja Maine Jab Kiya 
Rahmatoñ Ki Chaa Gayi Ghata
Phir Raza Ka Naam Leliya
Jalsa Shandaar Hogaya

Dec 20, 2019

Aap Se Kuch Arz Ke Qaabil Kahaañ [Lyrics]

Aap Se Kuch Arz Ke Qaabil Kahaañ
Mujh Se Naalaayiq Ki Ye Kaj-Maj Zabaañ


Phir Bhi Apne Lutf Se Mera Bayaañ
Sun Hi Lijiye Ae Mere Qutb e Zamaañ


Ho Idhar Chashm e Karam Peeraan e Peer
Aastaane Par Kharaa Hai Ik Faqeer


Waasta Hasanain Ka Sun Lijiye
Mushkileiñ Aasaan Meri Kijiye


Aap Ko Mawla ‘Ali Ki Hai Qasam
Door Kardije Mere Ranj o Alam


Kis Se Maanguñ Haath Phailaauñ Kahaañ
Aap Ke Dar Ke Siwa Jaauñ Kahaañ


Daaman e Maqsad Mera Bhar Dijiye
Aaj To Meri Khushi Kardijiye


Kaash Ho Jaaye Mera Aisa Naseeb
Aap Bulwaayeiñ Mujhe Apne Qareeb


Aur Phir Karleiñ Mujhe Apna Ghulaam
Khidmateiñ Leiñ Mujh Se Apni Subh o Shaam


Zindagi Meri Yooñ Hi Jaaye Guzar
Aap Ki Chokhat Pe Hi Rakha Ho Sar


Khaatma Ho Aap Ki Hi Yaad Meiñ
Ba’d e Murdan Ho Lahad Baghdad Meiñ


Kya Bataauñ Apne Dil Ka Haal Meiñ
Phansgaya Hooñ Meiñ Bare Janjaal Meiñ


Shaah e Jeelaañ Waqt Hai Imdaad Ka
Dar Pe Aaya Hooñ Laga Kar Aasraa


Qutb e Dawraañ Ab Madad Ka Waqt Hai
Bakht Bargashta Hai, Manzil Sakht Hai


Al Madad Ya Ghawth e A’zam Al Madad
Al Madad Ya Qutb e Akram Al Madad


Har Tarah Gheyre Haiñ Ashraar o Shuroor
Door Farmaadeiñ Inheiñ Ab To Huzoor


Nargha e A’daa Meiñ Haiñ Ahl e Sunan
Door Kijiye Un Se Sab Ahl e Fitan

- - -
Penned by: Huzoor Ahsan ul Ulama Alaihirrahmah

Oct 31, 2019

Kindness


Tabrani reported on the authority of Sayyiduna Usama bin Zaid Radi Allahu Anhu that Rasoolullah SallAllahu Alaihi Wa Sallam said,‘The Deeds of the people are presented
before Allah on a Monday and Thursday. He pardons all of them, except for those two people who harbor malice between each other, and that person who severs the bonds of kindness’.

The Prophet SallAllahu Alaihi Wa Sallam said, ‘Do not be Ima’a (a self seeker), whereby you say, that if the people are kind towards me, then I shall be kind towards them and if they oppress me, then I too shall oppress them.
However, remain steadfast on this, that if people are kind to you, then you too should be kind and if they are cruel towards you, then you should not oppress them (i.e. cause them any harm).’ [Tirmizi]

**Extracted from the encyclopedia of Hanafi Fiqh, Bahaar e Shariat

Aug 26, 2019

Behr e Deedaar Mushtaaq Hai Har Nazar [Lyrics]

Behr e deedaar mushtaaq hai har nazar
Dono aalam ke Sarkar aa jayiye
Chaandni raat hai aur pichla pahar
Dono aalam ke Sarkaar aa jayiye
Ab toh aa jayiye ab toh aa jayiye.

Sidra tul Muntaha Arsh o Baagh e Iram
Har jagah par chuke hain nishane qadam
Ab to ik baar apne ghulamo ke ghar
Dono aalam ke Sarkaar ajaiye
Ab to aajaaiye ab to aajaaiye.

Mere gulshan ko ik baar mehkaiye
Apne jalwo ki baarish me nahalaiye
Deeda e Shauk ko kijiye paarwar
Dono aalam ke Sarkar aa jayiye
Ab toh aajaaiye ab toh aajaaiye.

Saamne jalwagar Paikar e Noor ho
Munkiro ka bi Sarkaar shak door ho
Karke tabdeel ik din Libaas e Bashar
Dono aalam ke Sarkar aajaaiye
Ab toh aajaaiye ab toh aajaaiye.

Shaam e umeed ka ab sawera huwa
Soo e Taibah nigaaho me dera huwa
Bichh gaye raah me farsh Qalb o Jjigar
Dono aalam ke Sarkaar aajaaiye
Ab toh aajaaiye ab toh aajaaiye.

Aakhri waqt hai ek bimaar ka
Dil machal ne laga shoke deedar ka
Buj na jaaye kahin ye charaag e sahar
Dono aalam ke Sarkaar aajaaiye
Ab toh aajaaiye ab toh aajaaiye.

Shaam e ghurbat hai aur sheher khamosh hai
Eik Arhsad akela kafan posh hai
Khauf ki hai ghari waqt hai pur-khatar
Dono aalam ke Sarkaar aajaaiye
Ab toh aajaaiye ab toh aajaaiye.

Jun 15, 2019

Ze Rahmat Kun Nazzar With English Translation

Ze Rahmat kun nazzar bar haal e zaaram Yaa Rasool Allah,
Ghareebam be nawaayam khaak saaram Yaa Rasool Allah.

A glance of your mercy upon my state Yaa Rasool Allah,
I am poor, helpless, and worthless Yaa Rasool Allah.

Ze daagh e hijr e tau ke dil figaaram Yaa Rasool Allah,
Bahaar e sad chaman dar seenah daaram Yaa Rasool Allah.

The effect of your separation has broken my heart into thousands of pieces Yaa Rasool Allah,
My wounded heart holds hundreds of spring breezes Yaa Rasool Allah.

Tui taskeen e dil araam e jaan sabr o qaraar e mann,
Rukh e pur Noor, jaan e be qaraaram Yaa Rasool Allah.

You are the solace to my heart, comfort for my body, peace and tranquility for my soul,
Grant me the honour of a glance of Your Blessed radiant face, I am extremely restless and anxious Yaa Rasool Allah.

Tui Mawla e mann Aaqa e mann waali jaan e mann,
Tui daani ke juz tau kas na daaram Yaa Rasool Allah.

You are my Master, my saviour, the owner of my life and soul,
You are aware I have none other but you, Yaa Rasool Allah.

Dam e aakhir numaayee jalwah deedaar Jaami raa,
Ze lutf e tau hameen umeed waaram Yaa Rasool Allah.

I have full hope in your blessed mercy
When the final moments are upon Jaami,
That you will bless him with your beautiful vision Yaa Rasool Allah.

Translated by Faqeer Muhammad Shakeel Qaadiri Ridawi

 

Visitor's Traces

Total Page views