Ads 468x60px

Dec 30, 2019

Ya Nabi Wajood Aap Ka [Lyrics]

Ya Nabi Wajood Aap Ka 
Haasil e Bahar Hogaya
Aapke Qadam Ko Choom Kar
Khaar Khushboodar Hogaya 

Ek Nigaah e Mustafa Pari
Teer Dil Ke Paar Hogaya 
Qatl Karne Aaye The Umar
Mustafa Se Pyaar Hogaya

Gawth Ki Ye Shaan Dekhiye 
Ba-Asar Zubaan Dekhiye 
"Qum Bi Izni" Aap Ne Kaha
Murda JaanDaar Hogaya

Dhikr e Khwaja Maine Jab Kiya 
Rahmatoñ Ki Chaa Gayi Ghata
Phir Raza Ka Naam Leliya
Jalsa Shandaar Hogaya

Dec 20, 2019

Aap Se Kuch Arz Ke Qaabil Kahaañ [Lyrics]

Aap Se Kuch Arz Ke Qaabil Kahaañ
Mujh Se Naalaayiq Ki Ye Kaj-Maj Zabaañ


Phir Bhi Apne Lutf Se Mera Bayaañ
Sun Hi Lijiye Ae Mere Qutb e Zamaañ


Ho Idhar Chashm e Karam Peeraan e Peer
Aastaane Par Kharaa Hai Ik Faqeer


Waasta Hasanain Ka Sun Lijiye
Mushkileiñ Aasaan Meri Kijiye


Aap Ko Mawla ‘Ali Ki Hai Qasam
Door Kardije Mere Ranj o Alam


Kis Se Maanguñ Haath Phailaauñ Kahaañ
Aap Ke Dar Ke Siwa Jaauñ Kahaañ


Daaman e Maqsad Mera Bhar Dijiye
Aaj To Meri Khushi Kardijiye


Kaash Ho Jaaye Mera Aisa Naseeb
Aap Bulwaayeiñ Mujhe Apne Qareeb


Aur Phir Karleiñ Mujhe Apna Ghulaam
Khidmateiñ Leiñ Mujh Se Apni Subh o Shaam


Zindagi Meri Yooñ Hi Jaaye Guzar
Aap Ki Chokhat Pe Hi Rakha Ho Sar


Khaatma Ho Aap Ki Hi Yaad Meiñ
Ba’d e Murdan Ho Lahad Baghdad Meiñ


Kya Bataauñ Apne Dil Ka Haal Meiñ
Phansgaya Hooñ Meiñ Bare Janjaal Meiñ


Shaah e Jeelaañ Waqt Hai Imdaad Ka
Dar Pe Aaya Hooñ Laga Kar Aasraa


Qutb e Dawraañ Ab Madad Ka Waqt Hai
Bakht Bargashta Hai, Manzil Sakht Hai


Al Madad Ya Ghawth e A’zam Al Madad
Al Madad Ya Qutb e Akram Al Madad


Har Tarah Gheyre Haiñ Ashraar o Shuroor
Door Farmaadeiñ Inheiñ Ab To Huzoor


Nargha e A’daa Meiñ Haiñ Ahl e Sunan
Door Kijiye Un Se Sab Ahl e Fitan

- - -
Penned by: Huzoor Ahsan ul Ulama Alaihirrahmah
 

Visitor's Traces

Total Page views