Ads 468x60px

Jun 17, 2021

Ye Sab Raza Ke Faiz o Karam Ki Bahaar Hai [Lyrics]

Ye sab Raza ke faiz o karam ki bahaar hai,
Akhtar Raza ‘uloom ki aa’la minaar hai.

Akhtar Raza ka dhikr hai wajh e sukoon e jaañ,
Yaadoñ se unnki Gulshan e dil meiñ bahaar hai.

Arbaab ‘uloom fazl bhi kehte the dekh kar,
Iss dawr meiñ hamaara yahi taajdaar hai.

Akhtar Raza ki shaan nazar aaye kya unheiñ,
Aankhoñ meiñ jinke bughz o hasad ka gubaar hai.

Yaa Murshid e Bar Haq,
Deewaangaah e ‘ishq sajaayeiñ haiñ bara showq,
Aajaaiye ke Aap ka ab intezaar hai.

Iss roo e noor e baar ko dekhenge ab kahaañ,
Iss gham me Sunniyoñ ka jigar taar taar hai.

Ahl e Safa ki bazm mein aaye the yooñ nazar,
Taaroñ meiñ jaise chaand dikhaata bahaar hai.

Haañ haañ yahi hai Taaj e Shari’at ka aastaañ,
Har waqt jis pe rehmatoñ ki fuwaar hai.

Rakhna gali se door gawaara nahiñ kiya,
Kitna Raza ko Hazrat e Akhtar se pyaar hai.

Mukhtar who nigaah se roo-posh hogaye,
Khushboo se ab bhi unnki fiza mushkbaar hai.

 

Visitor's Traces

Total Page views