Ads 468x60px

Dec 4, 2021

Likhe jo Na'at e Paak Ke Misre Naye Naye Lyrics

Likhe jo Na'at e Paak ke misre naye naye
Qur'an ne diye humeiñ nukte naye naye

Allah ke Rasool ki chowkhatt pe dekhiye
Har roz aa rahe haiñ Farishte naye naye

Sarkaar e do jahaañ ke nawaase ke waaste
Jibreel laaye khuld se jore naye naye

1400 saal pehle kahaa tha Huzoor ne
Ahl e khabees laayenge fatwe naye naye

Seene pe haath baandh ke parhte haiñ ye Namaaz
Eejaad kar rahe haiñ tareeqe naye naye

Gangohi thaanvi kabhi dagwi ki shakl meiñ
Nazdeek pehen ke aayeñge choole naye naye

Gustakh e Mustafai ki pitaayi ke waaste
Hum ne bigho ke rakhe haiñ jhoote naye naye

Inn Najdiyoñ ke paas haiñ kawwe naye naye
To hum Sunniyo ke paas haiñ murghe naye naye

Nov 29, 2021

Tum Se Jo Guraizaañ Hai Lyrics

Tum Se Jo Guraizaañ Hai Farzaanah Woh Weeranaah

Shaida Jo Huwa Tum Par Weeraanah Woh Farzaanah


Aajaa Dil E Weeraañ Meiñ Tera Ho Ye Kaashaanah

Lillah Karam Farmaa Aye Jalwa E Jaanaanah


Aankhoñ Se Pilaa Woh Mai Sarmast Rahooñ Jis Se

Bharde Mera Paimaanah Aye Saaqi E Maikhaanah


Woh Abr E Bahaar Aaya Har Shai Pe Nikhaar Aayaa

Laa Jald Mere Saaqi De Saaghar O Paymaanah


Kya Raat Ke Parde Se Chupke Se Sahar Nikli

Yaa Jaan E Dil E Aaraane Zulfoñ Meiñ Kiya Shaanah

 

Badkaar Sahih Laikin Bandah Hooñ Tere Dar Kaa

Mehroom Nah Rakh Mujhko Ae Shaan E Kareemaanah


Yooñ Thaam Ke Daaman Ko Machlaa Hai Sar E Mehshar

Dekhe Koi AKHTAR Kaa Yeh Naaz E Ghulaamanah

- - -

Penned by Huzoor Taaj ush Shariah Alaihirrahmah

Nov 17, 2021

Noor E Mustafai Se Qalb Jagmagaayeñge [Lyrics & Video]

Noor E Mustafai Se Qalb Jagmagaayeñge
Rehmatoñ ki baarish meiñ har ghari nahaayeñge

Aamad E Risaalat Par Eid Ham Manaayeñge
Jalne Waale Jatle Haiñ Aur Ham Jalaayeñge

Mustafa Nahiñ Bhoole Jab Humeiñ Wilaadat Par
Ham Wilaadat E Aaqa Kaise Bhool Jaayeñge

Jo Ddubone Aayega Khud Hi Ddoob Jaayega
Ham Ghulaam E Ahmad Haiñ Ddoobne Nah Paayeñge

Jo Bhi Jis Ka Khaata Hai Uss Ke Geet Gaata Hai
Ham Bhi Jis Ka Khaate Haiñ Uss Ke Geet Gaayeñge

Jab Talak Hai Dam Apna Jab Talak Ye Saanse Haiñ
Mehfileñ Sajaayeñge Jashn Bhi Manaayeñge

Jibraeel Ne Jhandde Lagaaye The Wilaadat Par
Iss Liye To Ham Jhadnde Lagaate Haiñ Lagaayeñge

Jo Nabi Ke Dushman Se Meil-Jhol Rakhega
Khuld Ki Mehek Bhi Woh Ba Khuda Nah Paayeñge

Khushaqeeda Khush Hoga Badaqeeda Royega
Naaraa Pyaare Aaqa Ka Sunni Jab Lagaayeñge

Jis Nabi Ke Sadqe Meiñ Rab Mila Hameiñ AARIF
Dhikr Uss Nabi Ka Ham Sunte Haiñ Sunaayeñge

- - -
Penned by Mawlana Arif Barkaati, Malawi

Jun 17, 2021

Ye Sab Raza Ke Faiz o Karam Ki Bahaar Hai [Lyrics]

Ye sab Raza ke faiz o karam ki bahaar hai,
Akhtar Raza ‘uloom ki aa’la minaar hai.

Akhtar Raza ka dhikr hai wajh e sukoon e jaañ,
Yaadoñ se unnki Gulshan e dil meiñ bahaar hai.

Arbaab ‘uloom fazl bhi kehte the dekh kar,
Iss dawr meiñ hamaara yahi taajdaar hai.

Akhtar Raza ki shaan nazar aaye kya unheiñ,
Aankhoñ meiñ jinke bughz o hasad ka gubaar hai.

Yaa Murshid e Bar Haq,
Deewaangaah e ‘ishq sajaayeiñ haiñ bara showq,
Aajaaiye ke Aap ka ab intezaar hai.

Iss roo e noor e baar ko dekhenge ab kahaañ,
Iss gham me Sunniyoñ ka jigar taar taar hai.

Ahl e Safa ki bazm mein aaye the yooñ nazar,
Taaroñ meiñ jaise chaand dikhaata bahaar hai.

Haañ haañ yahi hai Taaj e Shari’at ka aastaañ,
Har waqt jis pe rehmatoñ ki fuwaar hai.

Rakhna gali se door gawaara nahiñ kiya,
Kitna Raza ko Hazrat e Akhtar se pyaar hai.

Mukhtar who nigaah se roo-posh hogaye,
Khushboo se ab bhi unnki fiza mushkbaar hai.

May 23, 2021

Raza Ka Jashn e Paidaaish [Lyrics]

Raza ka jashn e paidaaish manaate haiñ Raza waale,
Raza se apni ulfat yooñ jataate haiñ Raza waale

Charaagh e Khaandaan e Hazrat e Barkaat e Marehra,
Tumhi ho chashm e Marehra tumhiñ Sidq o Safaa waale

Hai das shawwaal Eid e Ahl e Sunnat saari duniya meiñ,
Manaate haiñ khushi har soo sabhi ishq o wafaa waale

Meiñ qurbaañ ae Bareilly teri rif'at teri 'azmat par,
Ke haiñ jalwah figan tujh meiñ bare fazl o' ulaa waale

Dar e Ahmad Raza se jo waabastah haiñ Ae SHAAHID,
Wohi haiñ Ghawth o Khwaajah ke wohi haiñ Mustafa waale

رضا کا جشن پیدائش مناتے ہیں رضا والے
رضا سے اپنی الفت یوں جتاتے ہیں رضا والے

چراغ خاندان حضرت برکات مارہرہ
تمہی ہو چشم مارہرہ تمہیں صدق وصفا والے

ہے دس شوال عید اھلسنت ساری دنیا میں
مناتے ہیں خوشی ہرسو سبھی عشق و وفا والے

میں قرباں اے بریلی تیری رفعت تیری عظمت پر
کہ ہیں جلوہ فگن تجھ میں بڑے فضل و عُلا والے

در احمد رضا سے جو بھی وابستہ ہیں اے شاھد
وہی ہیں غوث و خواجہ کے وہی ہیں مصطفی والے

Mar 3, 2021

The Belief of Ahl as-Sunnah

Following is the belief of Ahl as-Sunnah wa al-Jama'ah as mentioned by Sadr al-Shariah Allamah Mufti Amjad al-Azami (Alayhir Rahmah) in Bahar-e-Shariat and we should always remain firm upon it. He says:

• All the companions (Radi Allahu Anhum) of the Prophet ﷺ are virtuous and just people. We should always address them with the utmost respect and dignity as to do so is Fard upon us.

• To think ill of any Sahabi is a sign of being a budmadhab and a misguided person. Such a person is deserving of the fire of hell. To think ill of a Sahabi is to harbour ill feelings against the Prophet ﷺ. Those who do this are Raafdis, even if he accepts the Khulafa-e-Raashideen and claims to be a Sunni.

• To insult Hadrat Ameer Mu’awiyah, his father Hadrat Abu Sufyaan and his mother Hadrat Hind is not acceptable. Similarly, it is disallowed to speak ill of Hadrat Amr ibn al-Aas, Hadrat Mughira, Hadrat Abu Musa Ash’ari or even Hadrat Wahshi who martyred Hadrat Sayyidush Shuhada Hadrat Ameer-e-Hamzah before he (Hadrat Wahshi) accepted Islam. It must also be noted that after accepting Islam, Hadrat Wahshi killed one of the Dajjals Musaylamah Kazzab who falsely claimed to be a Prophet. He used to sadly say that he had martyred one of the best amongst the people (before accepting Islam) and he (would happily say) that he had killed the worst amongst people.

• To disrespect anyone of these companions (Radi Allahu Anhum) is sinful and an act deserving of punishment, even though it may not be as severe as disrespecting Hadrat Abu Bakr and Hadrat Umar. To slander them and to reject their Khilafat is regarded by the learned Fuqaha (Jurists) as Kufr.

Ref: Bahar-e-Shariat, Vol. 1, Page 196

Feb 26, 2021

Ye Dawr Ghawth Ka Hai [Lyrics]

Ye dawr Ghawth ka hai zamaana Ghawth ka,
Phir kyuñ tarap raha hai deewaana Ghawth ka

Nisbat ki kar hifaazat mawt aaye ban ke rehmat,
Bin towbah nah marega deewaana Ghawth ka

Noori Raza o Haamid Akhtar Ziya ko dekh,
Ye sab chamak rahe haiñ hai chamkaana Ghawth ka

Tanha woh kutta sheroñ pe bhari dikhaayi de,
Ik baar jis ne khaaliya hai khaana Ghawth ka

Sarkaar dushmanoñ meiñ use kaise chhordeiñ,
Jo naam le raha hai rozana Ghawth ka

Boleñge dekh kar ke sipaahi ye Hashr meiñ,
Chhero na iss ko ye hai mastaana Ghawth ka

Ye ik corona kya hai hazaaroñ bhi hoñ agar,
Apne liye hai kaafi shifa khana Ghawth ka

Arif Raza ne aisa pilaaya hai jaam e Ghawth,
Duniya pulaar utthi hai deewaana Ghawth ka

Feb 19, 2021

Lahad Meiñ Aaqa Ki Deed Hogi [Lyrics]

Lahad meiñ Aaqa ki deed hogi
mein saj ke ghar se nikal raha hooñ
mere azizoñ ye rona kaisa
makaan hi to badal raha hooñ

baad meiñ ye sawaal pahle
nakeeroñ Aaqa ka dhikr chhero
milan ki shab hai kafan meiñ apne
khushi ke maare machal raha hooñ

Kisi ke Dar ka faqeer hooñ meiñ
mohabbatoñ ka aseer hooñ meiñ
meiñ be-sahaara nahiñ hooñ logoñ
Nabi ke tukroñ pe pal raha hooñ

Bari katthhin hai Hasan ye raateiñ
sunaate rahiye Nabi ki na'teiñ
sukoon milta hai dard e dil ko
meiñ na't sun kar machal raha hooñ
 

Visitor's Traces

Total Page views