Ads 468x60px

Jan 21, 2013

Tashrif Aawari

HIQAYAT:-
**********
Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Jab Wiladat Sharif Hui! Us Waqt Huzoor Ke Dadajaan Hazrat Abul Muttalib Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Kaaba Sharif Ki Dewaar Ki Taamir May Mashgul The! Abdul Muttalib Farmate Hain Ki Main Kaaba Sharif Ka Tawaaf Ker Raha Tha Ki Achanak Kaaba Sharif Charon Taraf Zhukta Nazar Aaya Aur Fir Makaam-A-Ibrahim May Sazda May Gir Gaya Aur Usme Se Takbir Wa Tahlil Ki Awaazen Aane Lagi! Fir Wo Sidha Khada Hogaya, Isse Awaaz Aayi-

"Sab Tarif Us ALLAH Keliye Hain Jisne Mujhe Mohammad SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Sath Maqsus Farmaya!"

Fir Arkaan-A-Kaaba Aapas May Ek Dusre Per Salam Bhejne Lage! Hazrat Abdul Muttalib Farmate Hain Ki Main Baab-A-Safa Se Baaher Nikla To Zamin Ki Har Chiz Mujhe Takbir Wa Tahlil May Mashgul Nazar Aayi! Main Unki Awaaz Soon Raha Tha! Fir Yeh Awaaz Suni Ki-

"Tumahre Paas Rasool SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Tashrif Le Aaye" Fir Maine Boothon Ko Dekha To Wo Aundhe Mooh Gire Hue Nazar Aaye! Main Apni Aankhen Malne Laga Ki Yeh Jo Kuch Main Dekh Raha Hoon Aalam-A-Bedaari May Hain, Aalam-A-Gaib May Dekh Raha Hoon! Jab Ghar Pahucha To Ghar Ke Irdh-Girdh Ajeeb Wa Gareeb Noorani Parinde Udte Dekhe Aur Ghar Se Mushk Wa Amber Ke Hulle Uthte Nazar Aaye! Maine Darwaza Khat-khataya To Aamina (Radi-Allahu-Ta'aala-Anha) Khud Nikli Aur Darwaza Khola! Maine Dekha Ki Aamina Ke Chehre Per Koi Zauf Wagaira Ka Asar Nahi Tha! Haan Uski Peshani Per Jo Noor Chamakta Nazar Aaya Tha Wo Nazar Na Aaya! Maine Pucha, Aamina! Peshani Ka Wo Noor Kahan Hain? To Boli, Mere Yahan Ek Baccha Paida Hua Hain Jiski Wiladat Ke Baad Haatif Se Mujhe Awaaz Sunayi Di Hain Ki Iska Naam Mohammad Rakhna! (SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM) Isliye Ki-
Iska Aasmaano Per Naam Mahmood Hain Aur Tauraat May Mawid, Zaboor May Haadi, Injeel May Ahmed Aur Quraan May Taha Yaseen Aur Mohammad Hain!
Hazrat Abdul Muttalib Farmate Hain Ki Maine Aamna Se Kaha, Chalo Mujhe Mera Pyara Baccha Dikhao! Chunanche, Jab Main Aage Bada To Ek Azim Shaks Talwaar Khinche Raaste May Khada Nazar Aaya! Jisne Aage Badne Se Roka! Abdul Muttalib Dar Gaye! Pucha Ki Tum Kaun Ho? Kyon Rokte Ho? Wo Bola, Is Muqaddas Mauludh Ki Jabtak Saare farishte Ziyarat Na Kerlege Kisiko Aage Jane Ki Ijazat Nahi! Main Isi Kaam Keliye Yahan Maujudh Hoon!

(Jaami-Ul-Moajizaat Pg-76)

********************************
SABAK:-
********
Hamare Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-TA'AALA-WASALLAM Kaaba Ka Bhi Kaaba Hain! Kaaba Sharif Ki Saari Izzatain Hamare Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Hi Ke Sadqe May Hain!

Yeh Bhi Malum Hua Ki Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Tashrif Aawari Ki Khushi Saari Qainaat Ne Manayi! Kisine Takbir Wa Tahlil Ke Naare Bulandh Karke Aur Kisine (Boothon Ne) Aundhe Mooh Girker Mooh Chipaker!

Yeh Bhi Malum Hua Ki Baccha Paida Hone Per Iska Naam Uske Maa-Baap Rakhte Hain, Ya Bahen-Bhai Aur Digar Akraba, Magar Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ka Naam Khud Khuda Ta'aala Ne Rakha Hai!
********************************

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views