Ads 468x60px

Dec 11, 2013

Aayate Shifa K Muttaliq Ek Waqiya

Hazrat Abul Qassim Al-Qushayri رحمۃ الله تعالیٰ علیہ Se Manqull Hai K Ek Martaba Unka Ladka Bahut Beemar Ho Gaya Aur Haalaat Bohot Zyada Nazuk Ho Gaye Yaha Tak  K Mautt Saamne Nazar Aane Lagee...

To Taajdaar e Ambiya صلى الله عليه و آله و صحبه و سلم Ke Taraf Istegasa Pesh Kiya, الحمد لله تعالیٰ Taajdaar e Ambiya صلى الله عليه و آله و صحبه و سلم khwaab Me Tasreef Laaye, MAINE Ladke Ke Halat Ke Bare Me ARZ Ki AQA E Kareem Ne Irshad Farmaya, Tum Ne Qur'an e Kareem Me AAYAT E SHIFA Ko Padha Hai?
Aur Mein Jaag Gaya Aur Gauro Fikr Karne Laga Mujhe Qur'an e Kareem Me SHIFA Lafz Ki 6 Ayate Mili:

Surah Taubba, Aayat 14
Surah Yunus, Aayat 57
Surah Nahal, Aayat 69
Surah Bani Israeil, Aayat 82
Surah Shuaraa, Aayat 80
Surah Sajdah, Aayat 44
            
MEINE INN AAYAAT E MUBARAK KO LIKHA, PANI ME GHOLA, LADKE KO PILA DIYA, AISA LAGA JAISE USKI BIMARI KI RASII KAAT DEE GAEE. ( WOH SHIFA E KAMILA PAA LIYA )

Anware Muhamadiya 551

Allahu Akbar Allahu Akbar

✅ Beshak Qur'an e Kareem Momino K Liye SHIFA Hai... Ab Hame Chahiye K Ham Apne Ahl o Ayaal ko, Baccho Ko, Inn Ayato Ko YAAD Karwaein Aur Beshumaar Fayde Utthaien...!!!

Rabb e Kareem Hidayat Ata Farmaye...

آميــــــــــــــــــــن يَارَبَّ الْعَالَمِين

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views