Ads 468x60px

Jan 10, 2017

Al Amaan Qeher Hai Aye Ghaus Wo Teekha Tera (Complete Transliteration)

Al Amaan Qeher Hai Aye Ghaus Wo Teekha Tera

Mar Ke Bhi Chain Se Sotaa Nahin Maara Teraa.


Baadalon Se Kahin Rukti Hai Karakti Bijlee,

Dhaalein Cheent Jaati Hain Uthta Hai Jo Tegha Teraa.


Aks Ka Dekh Ke Munh Aur biphar Jaata Hai,

Chaar Aaina Ke Bal Ka Nahin Nezaa Teraa.


Koh-E-Sar Mukh Ho To Ek Waar Mein Do Par Kaale,

Haath Parta Hi Nahin Bhool Ke Aucha Teraa.


Is Pe Yeh Qeher Ke ab Chand Mukhalif Tere,

Chahate Hain Ke Ghata Dein Kahin Paaya Tera.


Aql Hoti To Khuda Se Na Larai Lete,

Ye Ghataein Use Manzoor Barhaana Teraa.


Warafa'naa Laka Zikrak Ka Hai Saaya Tujh Par,

Bol Baala Hai Tera Zikr Hai Ooncha Teraa.


Mit Gaye Mit Te Hain Mit Jaayenge Aadaa Tere,

Na Mitaa Hai Na Mitega Kabhi Charcha Teraa.


Tu Ghataaye Se Kisi Ke Na Ghata Hai Na Ghatay,

Jab Barhaaye Tujhe Allah Taala Teraa.


Samme Qaatil Hai Khuda Ki Qasam Unka Inkaar,

Munkir E Fadle Huzoor Aah Ye Likkha Teraa.


Mere Siyaaf Ke Khanjar Se Tujhe Baak Nahin,

Cheer Kar Dekhe Koi Aah Kaleja Teraa.


Ibne Zahra Se Tere Dil Mein Hain Ye Zaher Bhare,

Bal Be Ow Munkir-E-Be Baak Yeh Zuhra Teraa.


Baaz-E-Ashahab Ki Gulaami Se Yeh Aankhein Phirni,

Dekh ur Jayega Imaan Ka Tota Teraa.


Shaakh Par Baith Ke Jar Kaatne Ki Fikr Mein Hain,

Kahin Neecha Na Dikhaye Tujhe Shajra Teraa.


Haq Se Bad Ho Ke Zamaane Ka Bhala Banta Hai,

Are Main Khoob Samajhta Hoon Muamma Teraa.


Sag-E-Dar Qeher Se Dekhe To Bikharta Hai Abhi,

Band Band-E-Badan Aay Roobeh Duniya Teraa.


Garz Aaqa Se Karoon Arz Ke Teri Panah,

Bandah Majboor Hai Khaatir Pe hai Qabza Teraa.


Hukm E Naafiz Hai Tera Khaamah Tera Saif-E-Taree,

Dam main Jo Chahe Kare Dor Hai Shahaa Teraa.


Jis Ko Lalkaar De Aata ho To Ultaa Phir Jaay,

Jis Ko Chamkaar Le Har Phir Ke Woh Teraa Teraa.


Kunjiyan Dil Ki Khuda Ne Tujhe Dein Aisi Kar,

Ke Yeh Seena Ho Mohabbat Ka Khazeena Teraa.


Dil Pe Kundah Ho tera Naam Ke Wo Duzd E Rajeem,

Ulte  hi Paaon Phire Dekh Ke Tughra Teraa.


Naz’aa Mein Gor Mein Meezaan Pe Sar-E-Pul Pe Kahin,

na chuttay haath say daamaane mualla tera.


Dhoop mehshar ki who jaan soz qayaamat hay magger

Mutmain Hoon ke Mere Sar Pe Hai Palla Teraa.


Bohjat Is sir Ki Hai Jo Bohjatul Asraar Mein Hai,

Ke Falak Waar Mureedon Pe Hai Saaya Teraa.


Aye RAZA Cheest E Gam Ar Jumlah Jahan Dushman Tust,

Kardah Um Maa Mane Khud Qibla-E-Haajat-E-Raa.


Transliterated by Faqeer Mohammed Shakeel Qadiri Ridawi

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views