Ads 468x60px

Jan 26, 2017

Mustafa e Zaat e Yakta Aap Haiñ + English Translation

Mustafa e zaat e yakta aap hain,
Yak ne jisko yak banaya aap hain.


The Chosen One, The most unique, You are,

The Unique one created by The One, You are.

 
Aap jaisa koi ho sakta nahi,
Apni har khoobi mein tanha aap hain.


The Matchless one, with no equal, You are,
In your every excellence matchless, You are.


Aab o gil mein noor ki pehli kiran,
Jaan e Adam jaan e Hawa aap hain.


The first ray of light in The nature of creation, You are

The soul of Adam, the soul of Hawa, You are.


Husn e awal ki namood e awaleen,
Bazm e aakhir ka ujala aap hain.


The first sign of the First splendour, You are

The shining light of the final gathering, You are.


Aap ki khaatir banaey do jahan,
Apni khaatir jo banaya aap hain.


For whom Both the worlds were created, You are

The Unique one (He) created for Him, You are.


Apki tal’at ko dekha jaan di
Qabr mein pohancha to dekha aap hain.


Upon your radiance, I sacrificed my life,
Upon reaching the grave, I saw there, You are.


Apki tal’at khuda kaa aaeena,
Jis main chamka haq ka jalwa aap hain.


Your radiance a (Pure Light) of the Almighty

In whom shines the Light of The Almighty, You are.


Aap se khud aap ka saail hun main,
Jaane jaan meri tamanna aap hain.


A Beggar of yours, Asking you, from you,
My life, my desire, O my Beloved, You are


Bardarat aamad gada behrey salam,
Ho bhala Akhtar ka daata aap hain.


A beggar has come to your court to present salutations,

May Akhtar be blessed, for his bestower of blessings, You are.

Translation of the Kalaam of Huzoor Taajush Shariah Hadrat Mufti Akhtar Raza Khan sahib Qibla ( May Allah Almighty preserve him)

Translated by
Sag e Mufti e Azam

Muhammad Afthab Cassim Qaadiri Razvi Noori

Imam Mustafa Raza Research Centre, Durban, South Africa

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views