Ads 468x60px

Mar 25, 2013

12 Hadith - Hazrat Ali (KaramAllahu Ta'ala Wajhahul Kareem)


*الصلوة واسلام عليك يارسول الله*صلى الله عليه وآله وسلم

[1] Koi Tumhare Dill Ko Dukhaye To Naraz Na Hona kyon Ke Yeh Qudrat Ka Kanoon Hai Ke Jis Darakht Ke Sath Ziyada Meetha Phal Hota Hai Usse Log Zayada Pathar Marte Hain. (Hazrat Ali) (KaramAllahu Ta'ala Wajhahul Kareem)

[2] Mushkilat Hamesha Behtreen Logo Ke Hisse Me Aate Hain, kyon Ke Wo Us Ko Bhetreen Tariqe Se Anjaam Dene Ki Salahiat Rakhte Hai (Hazrat Ali)( KaramAllahu Ta'ala Wajhahul Kareem)

[3] Jo koi raat ko sone se pehle 3 – baar Sure Ikhlaas (Qulho Wallaho Ahad) padhe__to Allah 50000 farishte bhejega jo us raat uski hifaazat karege. (Hazrat Ali) ( KaramAllahu Ta'ala Wajhahul Kareem )

[4] Logon ke darmiyan ayese raho ke agar aap mar jaate ho to wo aap par roye aur agar aap zinda ho to wo aap ke saath ke liye tarse. (Hazrath Ali) ( KaramAllahu Ta'ala Wajhahul Kareem)

[5] Her giz ayese shakhs ki dosti Ikhtiyar na karo__Jo tumhari buraiyon ko yaad rakhe aur Tumhari khubiyon ko bhool Jaaye. (Hazrat Ali)( KaramAllahu Ta'ala Wajhahul Kareem)

[6] Momin ka imtehaan takleef aur musibat se hota hai__jayese khalis sonay ki aazmaish aag se hoti hai. (Hazrat Ali) ( KaramAllahu Ta'ala Wajhahul Kareem )

[7] Suraj ki kirnain Zamin Par Parne se Pehle Uth Jaya karo kyon ke Us Waqt Rizq Taqseem kiya Ja Raha Hota Hai. (Hazrat Ali) ( KaramAllahu Ta'ala Wajhahul Kareem )

[8] Nek Aadmi Ki Maut Us Ke Liye Rahat Hai Aur Bure Aadmi Ki Maut Logon Ke Liye Rahat Hai. (Hazrat Ali) ( KaramAllahu Ta'ala Wajhahul Kareem )

[9] Agar tumhe ek dusre ki nekiyon ka ilm hota to tum ek dusre ko DAFAN bhi na karte_hamesha achcha sochho dusre ke baare mai. (Hazrat Ali) ( KaramAllahu Ta'ala Wajhahul Kareem)

[10] Logon ko dua ke liye kahene se behetar hai__Ke ayese amal karo. ke logon ke dil se aap ke liye dua nikle. (Hazrat Ali) (KaramAllahu Ta'ala Wajhahul Kareem)

[11] Mujhe Jannat Se zyada masjid mein bethna achchha lagta hai kyun ke jannat main mera nafs khush hoga, jab ke masjid main mera rab khush hoga (Hazrat Ali) ( KaramAllahu Ta'ala Wajhahul Kareem)

[12] Agar koi tum se bhalayi ki umeed rakhe to usse mayyus mat karo kyon ke logon ki zaruraton ka tum se Wabasta hona tum par ” ALLAH” ka khas Karam hai. (Hazrat Ali) ( KaramAllahu Ta'ala Wajhahul Kareem)

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views