Ads 468x60px

May 29, 2015

Shor-e-Meh Nau Sun Kar Tujh Tak Maiñ Dawaañ Aaya [Lyrics]

Shor-e-Meh Nau Sun Kar Tujh Tak Maiñ Dawaañ Aaya,
Saaqi mai tere sadqe mai de ramzaan aaya.
 
Is gul ke siwa har phool ba gosh-e-giraan aaya,
Dekhe hi gi aye bulbul jab waqt-e-fughaan aaya.
 
Jab baam-e-tajalli par who nayyar-e-jaan aaya,
Sar tha jo gira jhuk kar dil tha jo tapaan aaya.
 
Jannat ko haram samjha aate to yahan aaya,
Ab tak ke har ek ka munh kehta hon kahan aaya.
 
Taiba ke siwa sab baagh paa maal-e-fanaa honge,
Dekhoge chaman waalo jab ahd-e-khazaan aaya.
 
Sar aur woh sang-e-dar aankh aur woh bazm-e-noor,
Zaalim ko watan ka dhyaan aaya to kahan aaya.
 
Kuch naat ke tabqe ka aalam hi niraala hai,
Sakte mein pari hai aql chakkar mein gumaan aaya.
 
Jalti thi zameen kaisi thee dhoop kari kaisi,
Lo woh qad-e-be saaya ab saaya kinan aaya.
 
Taiba se ham aate hai kahiye to jinan waalo,
Kya dekh ke jeeta hai jo waan se yahan aaya.
 
Le toq alam se ab aazad ho aay qumri,
Chithi liye bakhshish ki woh sarwar-e-rawaan aaya.
 
Naama-se-RAZA ke ab mit jaao bure kaamo,
Dekho mere palle par woh ache miyan aaya.

Badkaar-RAZA khush ho badkaam bhale honge,
Woh ache miyan pyara achon ka miyaan aaya.

- - -
Penned By:
Aala Hazrat, Imam Ahmad Raza Khan Qadri Barkaati Faazil e Bareilly Alaihi Rahma

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views