Ads 468x60px

Feb 22, 2013

Khuda Ke Fazl Se Hum Par H ai Saaya Gauth-e-A'zam Ka


Khuda Ke Fazl Se, Hum Par Hai Sayah Gauth-e-Azam Ka
Hamay Do No Jahaan Me Hai, Sahara Gauth-e-Azam Ka

Muhammad Ka Rasoolo Mein Hai Jeise Martaba Aala
Hai Afzal Awliya Mein Yoon Hi Rutba Gauth e Azam Ka

Mureedi LA TAKHAF Keh kar Tasalli Di Ghulamo Ko,
Qayamat Tak Rahe Be-Khauf Banda Gauth-e-Azam Ka

Hamari Laaj Kiske Haath Hai Baghdad Waale Ke,
Museebat Taal Dena Kiska Gauth e Azam Ka

Hamari Laaj Kis Ke Haath Hai, Baghdaad Wale Ke
Musibat Taal Dena Kaam, Kis Ka Gauth-e-Azam Ka

Gaye Ik Waqt Sattar Mureedo Ke Yahaan Hazrat,
Samajh Me Aa Nahin Sakta Mu'amm Gauth-e-Azam Ka

Lu'aab Apna Chataya Ahmad-e-Mukhtar Ne Inko,
To Phir Keise Na Hota Bol Bala Gauth-e-Azam Ka

Azizo Kar Chuko Taiyaar, Jab Mere Janaze Ko
To Likh Dena Kafan Par, Naam Wala Gauth-e-Azam Ka

Lahad Me Jab Farishte, Mujh Se Pochenge To Keh Doonga
Tareeqa Qadri Hoon, Naam Lewa Gauth-e-Azam Ka

Rasoolallah Ka Dushman Hai, Gauth-e-Pak Ka Dushman
Rasoolallah Ka Pyara Hai, Pyara Gauth-e-Azam Ka

Khuda Wanda, Dua Maqbool Kar Hum Rooh Siyaho(n) Ki,
Gunaho Ko Hamare Baksh Sadqa Gauth-e-Azam Ka

Jameel-e-Qadri So Jaan Se Ho Qurbaan Murshid Par,
Banaya Jis Ne Tujh Jeise ko Banda Gauth-e-Azam Ka

1 comments:

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views