Ads 468x60px

Mar 18, 2014

Maslak e Ahmad Raza


Tez Aandhi me bhi Jala hai Maslake Ahmad Raza
Woh chirag e Mustafa hai Maslake Ahmad Raza

Maslake Ahmad Raza pe Harf Aa Sakta nahi
BuHaneefa ki ata hai Maslake Ahmad Raza

Maslake Ahmad Raza koi Naya Maslak nahi
Khuld wala Raasta hai Maslake Ahmad Raza

Aap bhi Barkaati Gharane me to Chal kar dekhiye
Bacha Bacha bolta hai Maslake Ahmad Raza

Hazrate Noori Miyaa ka Qaul e Faisal Dekhiye
Mere ghar ka ek diyaa hai Maslak e Ahmad Raza

Haami e Ahl e Sunnat Mere Amin aur Najib,
Inki Ghutti mai padaa hai Maslak e Ahmad Raza....

Siraat e Mustakim ki kirne Aman aur Usmaan,
Sikhaaya hai hum ko inhi ne Maslak e Ahmad Raza

Koi Jalta hai Jale humko nahi koi garaz....
Hashr tak naara lagega Maslak e Ahmad Raza....

Hai ye beshak Hazrat e Amin e Millat Raza ka Faiz hi
Hai Chamakta Misle Akhtar Maslak e Ahmad Raza....

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views