Ads 468x60px

Sep 4, 2016

Shukr e Khuda ke Aaj Ghari Uss Safar Ki Hai (Complete Transliteration)

Kalaam e Aalahadrat Azeem al Barakat Radi Allahu Anhu

Shukr e Khuda ke aaj gharri uss safar ki hai

Jis par nithaar jaan falaah o zafar ki hai


Garmi hai tapp hai dard hai kulfat saffar ki hai

Na shukr ye to dekh azeemat kidhar ki hai


Kis khaak e paak ki tu banee khaak e paa shifa

Tujhko qasam janab e maseeha ke sarr ki hai


Aabe hayaat e ruh hai 'zarqa' ki boond boond

Akseer a'azame mase dil khaak dar ki hai


Humko to apne saaye main aaram hi se laaye

Heele bahane waalon ko ye raah darr ki hai


Lut-te hain maare jaate hain yun hi suna kiye

Har baar di wo aman ke ghairat Hadar Ki Hai


Wo dekho jagmagati hai shab aur qamar abhi

Pehron nahin ke basto chaharum safar ki hai


Maahe Madinah apni tajalli ataa kare

Ye dhalti chandni to pehar do pehar Ki Hai


Mann Zaara-Turbatee WajaBat Lahu Shafa'ati

Un par durood jinse naveed in bushar ki hai


Usske tufail Haj bhi Khuda ne kara diye

Asl e muraad haazri iss paak dar ki hai


Ka'abe ka naam tak na liya Taybah hi kaha

Poocha tha humse jisne ke nuhzat kidhar ki hai


Ka'aba bhi hai inhin ki tajalli ka aik zill

Roushan inhin ke aks se Putli hajar ki hai


Hote kahan Khaleel o bina Ka'aba o Mina

Low laak waale Sahibi sab tere ghar ki hai



Maula Ali ne waari teri neend par Namaz

Aur woh bhi Asr sabse jo a'ala khatar ki hai


Siddeeq balke ghaar main jaan uss pe de chuke

Aur hifze jaan to jaan furuz e gurar ki hai


Haan tu ne unko jaan unhain pher di namaz

Par woh to kar chuke the jo karni bashar ki hai


Sabit hua ke jumla faraiz furu'u hain

Aslul usool bandagi uss taajwar ki hai


Shar khair, shor sur, sharar door, naar nur

Bushra ke baargah ye khairul bashar ki hai


Mujrim bulaye aaye hain 'Jaaooka' hai gawah

Phir radd ho kab ye shaan kareemon ke darr ki hai


Badd hain magar unhi ke hain baaghi nahin hain hum

najdi na aaye usko ye manzil khatar ki hai


Tuf najdiyat na kufr na Islam sab pe haraf

Kafir idhar ki hai na udhar ki adhar ki hai


Haakim hakeem daado dawa dain ye kuch na dain

Mardood ye muraad kis aayat khabar ki hai


Shakle bashar main noore Ilahi agar na ho

Kya qadr uss khameera e maao madar ki hai


Noore ilaah kya hai mahabbat Habeeb ki

Jis dil main ye na ho wo jagah khouk o khar ki hai


Zikre Khuda jo unse juda chaho najdiyo

Wallah zikre haq nahin kunji saqqar ki hai


Be unke waaste ke Khuda kuch ataa kare

Haasha galat galat ye hawas be-basar ki hai


Maqsood ye hai Aadam o Nooh o Khaleel Se

Tukhme karam main saari karamat thamar ki hai


Unki Nubuwwat unki ubuwwat hai sabko aam

Ummul bashar aroos unhin ke pisar ki hai


Zaahir main mere phool haqeeqat main mere nakhl

Uss gul ki yaad main ye sadaa bul bashar ki hai


Pehle ho unki yaad ki paaye jila namaz

Yeh kehti hai azaan jo pichle pehar ki hai


Duniya mazaar hashr jahaan hain Ghafoor hain

Har manzil apne chaand ki manzil Gafar ki hai


Un par Durood jinko hajar tak karain salaam

Un par Salaam jinko Tahiyyat shajar ki hai


Un par Durood jinko kasse be-kasan kahain

Un par Salaam jinko khabar be-khabar ki hai


Jinno bashar salaam ko haazir hain assalaam

Yeh bargah maalik e jinno bashar ki hai


Shamso qamar salaam ko haazir hain assalaam

Khubi unhin ki jyot se shamso qamar ki hai


Sab bahr o bar salaam ko hazir hain assalaam

Tamlik unhin ke naam to har bahr o bar ki hai


Sang o shajar salaam ko haazir hain assalaam

Kalme se tar zabaan darakht o hajar ki hai


Arzo athar salaam ko hazir hain assalaam

Malja ye baargah dua o athar ki hai


Shorida sarr salaam ko hazir hain assalaam

Raahat unhin ke qadmon main shorida sarr ki hai


Khasta jiggar salaam ko hazir hain assalaam

Marham yahin ki khaak to khasta jigar ki hai


Sab khushk o tar salaam ko hazir hain assalaam

Ye jalwa gaah maalik e har khushk o tarr ki hai


Sab karro farr salaam ko hazir hain assalaam

Topi yahin to khaaq pe har karro farr ki hai


Ahle nazzar salaam ko hazir hain assalaam

Ye gard hi  to surma sab ahle nazzar ki hai


Aansu baha ke beh gaye kaale gunah ke dher

Haathi dubao jheel yahan chashme tarr ki hai


Teri qaza khaleefa e ahkaame zil jalaal

Teri raza haleef qaza o qadar ki hai


Yeh pyari pyari kyari tere khaana baagh ki

Sard uski aab o taab se aatish saqar ki hai


Jannat main aa ke naar main jaata nahin koi

Shukre Khuda naweed najaat o zafar ki hai


Mo'min hun mo'mino Pe Rauf o Raheem ho

Saa-il hun saa-ilon ko khushi la-nahar ki hai


Daaman ka waasta mujhe uss dhoop se bachaa

Mujhko to shaaq jaaron main iss dopehr ki hai


Maa donon bhai bete bhateeje azeez dost

Sab tujhko soumpe milk hi sab tere ghar ki hai


Jin jin muraadon ke liye ahbaab ne kaha

Peshe khabeer kya mujhe haajat khabar ki hai


Fazle Khuda se ghaib e shahadat hua unhe

Iss par shahaadat aayato wahi o athar ki hai


Kehna na kehne wale the jab se tu ittela'a

Maula ko Qowl o Qail o har khushk o tarr ki hai


Unn par kitaab utri bayaanan li-Kulli Shay

Tafseel jis main maa abar wa maa Ghabar ki hai


Aage rahi ataa wo baqadr e talab to kya

Aadat yahan ummeed se bhi beshtar ki hai


Be maange dene wale ki ne'mat me ghark hain

Maange se jo mile kise feham iss qadar ki hai


Ahbaab iss se barh ke to shayad na paayen arz

Na karda arz arz ye tarze digar ki hai


Dandaan kaa naat khwaan hoon na payaab hogi aab

Naddi gale-gale mere aab e guhar ki hai


Dashte Haram main rehne de sayyaad agar tujhe

Mitti azeez bulbule be-baal o par ki hai


Ya Rabb Raza na Ahmad e parina hoke jaay

Ye baargah tere Habeeb e Abarr ki hai


Taufeeq de ke aage na paida ho khu-e badd

Tabdeel kar jo khaslat e badd peshtar ki hai


Aa kuch sunaa de ishq ke bolon main aay Raza

Mushtaq tab-e  lazzat e soz e jiggar ki hai.



Transliterated by Faqeer Mohammed Shakeel Qādirī Riḍawī

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views