Ads 468x60px

Jul 15, 2013

Zindagi Hai Nabi Ki, Nabi Ke Liye + English Translation


Zindagi ye nahin hay kisi ke liye
Zindagi hay Nabi ki, Nabi ke liye

This mortal life exists not for anyone's sake --
it is from the Prophet, and for the Prophet's sake!


Na-Samajh martay hain zindagi ke liye
Jeena marna hay sab kuch Nabi ke liye

Whilst the unwise dies for this mortal life --
life and death -- everything is for the Prophet!


Chandni Chaar din hay Sabhi ke liye
hay Sada Chaand Abdun Nabi ke liye

For a few short days all bask in the moonlight --
yet for eternity the moon itself is for the Prophet's slave!


"Anta Feehim" ke daaman mein Munkir bhi hain
Hum rahay Ishrat-e-Daaimi ke liye

Even the disbeliever takes refuge in {"whilst you are amongst them"} --
yet remains for us felicity 'til perpetuity!


Aeysh kar lo yahan Munkiro chaar din
Mar ke tarso ge iss Zindagi k liye

Bask in luxury here, for a few short days, ingrates!
When you die, you shall long to return to this mortal life!


Daag-e-Ishq-e-Nabi le chalo Qabr mein
Hay Charaag e Lahad Roshni ke liye

Take the imprint of Prophetic love with you to the grave --
for it is the lantern to illuminate the grave's dark corner!


Naqsh-e-Paa-e-Sagaan-e-Nabi dekhiye
Ye pataa hay bohat Rahbari ke liye

Observe the footprints of the dogs of the Prophet --
this signpost is more than sufficient for guidance!


Maslak-e-AlaHazrat Salamat rahay
Aik pehchaan Deen-e-Nabi ke liye

Long live the methodology of A'la Hazrat,
A true signpost to guide to the Prophetic religion!


Maslak-e-AlaHazrat pe Qaaim raho
Zindagi di gaee hay Isi ke liye

Remain steadfast upon the methodology of A'la Hadrat,
It was for this reason that you were granted life itself!


Sulh-e-Kulli Nabi ka nahin Sunniyo!
Sunni Muslim hay Saccha Nabi ke liye

Sunnis! The friends of every sect are nothing to do with the Prophet;
only righteous Sunni Muslims are truly for the Prophet!


Wo bulaatay hain, koi ye Awaz de
Dam mein jaa pohnchun mein Haaziri ke liye

If only someone were to call out, "he calls you"; --
I shall reach within a breath, to approach his court!


Aey Naseem-e-Saba Unn se keh de Shaha
Muztarib hay Gadaa Haaziri ke liye

O' gentle breeze if only you would say to him --
restless are his slaves, to approach his court!


Jin ke dil mein hay Ishq e Nabi ki Chamak
wo tarastay nahin chaandni ke liye

Whomsoever's heart glimmers with Prophetic love --
cares not for the glimmering of the moonlight!

Jin ke dil mein hain Jalway teray Ishq ke
Wo hain Najm-e-Zamaan roshni ke liye

Whomsoever's heart encompasses the manifestation of your love --
is but a star, to illuminate the times!


Akhtar-e-Qadiri khuld mein chal diya
khuld waa hay har ik Qaadiri ke liye

Akhtar Qādirī has proceeded to Paradise --
Paradise is open for each and every Qādirī!




~ Written by Hadrat Taaj al-Shariah Mufti Muhammad Akhtar Raza Khan al-Qadri [May Allah preserve Him] on 3rd Ramadan al-Mubarak, before Asr Prayers in Bareilly Sharif 

Urdu Text

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views