Ads 468x60px

Oct 25, 2013

Farishte Jis Ke Zaa'ir Hain Madinay Main Woh Turbat Hay

Farishtay Jis Kay Zaa'ir Hain Madinay Main Woh Turbat Hay
Yeh Woh Turbat Hay Jis Ko `Arsh e A`zam Par Fazeelat Hay!              
                         
Bhala dasht e Madinah say chaman ko koi nisbat hai;Madinay ki fazaa rashk e bahaar e baagh e jannat hai.

Madinah ghaar salamat hay to phir sab kuch salamat hai;
Khuda rakhay Madinay ko, issi ka damm ghaneemat hai.

Madinah aisa gulshan hai jo har gulshan ki zeenat hai;bahaar e baagh e jannat bhi Madinay ki ba-dawlat hai.

Madinah chor kar sayr e jinaa(n) ki kya zaroorat hai;
yeh jannat say bhi behter hai yeh jeete jee ki jannat hai.

Humeein(n) kya Haqq ta'aala ko Madinay say muhabbat hai;Madinay ki muhabbat un say ulfat ki `alaamat hai

Ilahi!! Woh Madinay Kaisi Basti Hay Dikhaa-Dayna;Jahaa(n­) Rahmat Barasti Hay Jahaa(n) Rahmat Hi Rahmat Hay.

Madinah Chor Kar Jannat Ki Khushboo Mil Nahi(n) Sakti;Madinay Say Mahabbat Hay To Jannat Ki Zamanat Hay.

Zamee(n) Pur Woh Muhammad Hain, Woh Ahmad Asmaano(n) Main;Yahaa(n) Bhi Un Ka Charcha Hay - Wahaa(n) Bhi Un Ki MidHat Hay.

Yahaa(n) Bhi Un Ki Chalti Hay, Wahan Bhi Un Ki Chalti Hay;Madinah Raajdhaani Hay Do `Aaalam Pur Hukoomat Hay!

Ghazab Hi Kardiya AKHTAR, Madinay Say Chalay Aa'aey;Yeh Woh Jannat Hay Jis Ki `Arsh Waalo(n) Ko Bhi Hasrat Hay.

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views