Ads 468x60px

Oct 10, 2013

Qurbani Ka Tareeqa...


※Hadith Sharef: Hadrat Anas Radi-Allahu Ta'ala Anh Se Riwaayat Hai Ke Nabi e Kareem  ﷺ Ne 2 Mendhe Chit'kabre Seeng Waalo Ki Qurbani ki, Unhe Apne Dast e Mubarak Se Zibah Kiya Aur "بسـم الله والله اكبــر" Kaha, Kehte Hain Main Ne Huzoor Ko Dekha Ke Apna Pavn' (Qadam Shareef) Un ke Pehlu Par Rakha Aur "بسـم الله والله اكبــر" kaha. (Bukhari o Muslim via Bahar e Shariat)

※ Behtar Ye Hai Ke Janwar Umdah Farbah ho.
Qurbani se Pehle Use Chaara Paani De Den Yaani Bhooka Pyasa Zibah Na Karen.
Aur Ek Ke Saamne Dosre Ko Zibah Na Karen,
Aur Pehle Se Chhuri Tez Kar Len Aisa Na Ho Ke Janwar Giraane Ke Baad Us Ke Saamne Chhuri Tez Ki Jaaye.
Janwar Ko Baayen(Left) Pehlu Par Is Tarah Letaayen Ke Qibalh Ki Janib Us Ka Munh Ho Aur Daahina (Right) Pavn Us Ke Pehlu Par Rakh Kar Tez Chhuri Se Jald Zibah Kar Diya Jaaye.

※Zibah se Pehle Ye Dua Parhi Jaaye
"اِنِّیْ وَجَّهْتُ وَجْهِيَ لِلَّذِيْ فَطَرَالسَّمٰوٰت وَالْاَرْضَ حَنِيْفًا وَّمَا اَنَا مِنَ الْمُشْرِكِيْن. اِنَّ صَلٰوتِيْ وَنُسُكِيْ وَمَحْيَايَ وَمَمَاتِيْ لِلّهِ ربِّ الْعٰلَمِيْن ە
لََا شَرِيْكَ لَه وَبِذٰلِكَ اُمِرْتُ وَاَنَا مِنَ الْمُسْلِمِيْنَ.  اَللّهُمَّ لَكَ وَ مِنْكَ بِسْمِ اللهِ اللهُ اَكْبَرُ "
Ise Parh kar Zibah Kar De,

Qurbani apni Janib Se Ho to Zibah Ke Baad Ye Dua Parhe:
" اَللّھُمَّ تَقَبَّلْ مِنِّيْ كَمَا تَقَبَّلْتَ مِنْ خَلِيْلِكَ اِبْرَاهِيْمَ عَلَيْهِ السَّلَام وَحَبِيْبِكَ مُحَمَّدٍ صــلَّى اللّٰــهُ تعـَـالٰى عَليْــه وسَـلَّمْ "
Is Tarah Zibah Kare Ke Chaaron Ragen Kat Jaayen ya Kam Se Kam Teen Ragen Kat Jaayen, Is Se Zyada Na Kaaten Ke Chhuri Gardan Ke Mohra Tak Pahoch Jaaye.

Phir Jab Tak Janwar Thanda Na Ho Jaaye Yaani Jab Tak Us Ki Rooh Bilkul Na Nikal Jaaye Us Ke Na Paavn Wagaira Kaaten Na Khaal Utaaren.

Aur Dosre Ki Taraf Se Zibah Karna Hai to "مِنِّي " ki Jagah "مِن" Ke Baad Us Ka Naam Le Aur Agar Wo Mushtarak Janwar Hai Jaise Gaaye, Unt To Wazan Se Gosht Taqseem Kiya Jaaye Mahez Takhmina (Andaza) Se Taqseem Na Karen.

※ Qurbaani Karne Waala Baqr Eid Ke Din Sab Se Pehle Qurbani Ka Gosht Khaaye, Us Se Pehle Koi Dosri Cheez Na Khaaye,  Ye Mustahab Hai. َ

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views