Ads 468x60px

Feb 14, 2014

Mera Haami Mera Mushkil Kushaa Baghdaad Ka Dulha,

Mera haami mera mushkil kushaa Baghdaad ka Dulha,
Mera haajat rawaa ‘uqdah kushaa Baghdaad ka Dulha.

Mere  Ahmad Raza ya’ani mere Mawla kahe Mawla,
Mere Pyaare Nabi ka laadla Baghdaad ka Dulha.

Lagi hai bheer kuche mein hazaaroun benawaoun ki,
Wuh aaya jhoomta abre sakhaa Baghdaad ka Dulha.

Khudaa ne kaisi sarkaarein ‘ataa famaien rahmat se,
Huzoor Ache Miyan ahle wilaa Baghdaad ka Dulha.

Use kya khawfe mahshar jis ke sar par sayaae mustar ho,
Janaabaane Rasul Ahmad Raza Baghdaad ka Dulha.

Qiyaamat mein mujhe wazne ‘amal ka khawf ho tawbah,
Sare mizaan maddad par hain dulha Baghdaad ka Dulha.

Nah jee lagta hai gulshan mein na bu e gul ko shaadi hai,
Basa hai meri nazroun main mera Baghdaad ka Dulha.

Dile muztar na ho mayoos la kashkool jaldi se,
Le sun le de raha hai kya nidaa Baghdaad ka Dulha.

Arey Ayub Rizwi tu saaghe naakaarah hai kis ka
Teri ruswaie chahega bahla Baghdaad ka Dulha,

- - -

Penned by: Shaykh Sayyid Ayyub al Rizwi al Qadri rahimahullahu Ta’ala 

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views