Ads 468x60px

Jun 23, 2014

Manqabat In Praise Of Sayyidah Aaminah Radi Allahu Anha

Sayyidah Aaminah Muslimah Muminah radi Allahu Ta’ala ‘anhaa

Manqabat:
Dar Shaan Waalidah Muhtarmah Sayyidah Aaminah Bibi radi Allahu Ta’ala ‘anhaa

Saqdah tum par ho dil o jaan Aaminah, Tum ne bakhsha ham imaan Aaminah.

Jo milaa jis ko milaa tum se milaa, Deen o imaan ‘ilm o ‘irfaan Aaminah.

Sab jahaan ki maaien ho tum par fidaa, Tum Muhammad ki bani maan Aaminah.

Ibn e Maryam waaqa’ie Rabb ke Rusool, Par Muhammad ki bari shaan Aaminah.

Jis shikam mein Mustafa houn jaaghuzeer, ‘Arsh e a’azam se hai zishaan Aaminah.

Tum se imaan o amaanat aur aman, Tum faizaan tum se ‘irfaan Aaminah.

Aaminah ke teen ma’ana bil yaqeen, Baa amaanat aman o imaan Aaminah.

Tum se Allah o Muhammad hain ayyaan, Aur hidaayat tum mein pinhaan Aaminah.

Ham hain mumin aur tum imaan bakhsh, Chashmah e Deen tum se jaari Aaminah.

Aap ka rawzah mujaawir mein banun, Phir nikaalun dil ke armaan Aaminah.

Mahbat e Qur’an Nabi hai aur tum, ho Nabi ki Muhtaram maan Aaminah.

Hai yeh Saalik aap ke dar ka faqeer, mangta hai aman o imaan Aaminah,

`Saalik’ Hakeem ul Ummah Mufassir ul Qur’an Shaykh ul Hadith Shaykh Mufti Ahmad Yaar Khan al Naeemi ‘alaihi al rahmah

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views