Ads 468x60px

Jun 4, 2014

Nazar Ab Dhoondti Hai Wo Qamar, Razvi Gharane Main

Nazar Ab Dhoondti Hai Wo Qamar, Razvi Gharane Mai
Jise Kahte The Sub Qamar Raza Us Aastane Mai

Ye Tha Unpe Karam Allah Ka Aur Faiz Aaqa Ka
Kiya Paida Tabhi To Unko Kuch Ayese Ghrane Mai

Wo Shahzade The Jilani Miya Jaise Mufasir Ke
Khasara Ahl-e-sunnat Ko Huwa Hai Unke Jane Se

Biradar Jinke The Rahman-e-millat Urf Rahmani
Jinhe Maqbooliyat Bakhshi Khuda Ne Ek
Zamane Mai

Biradar Jinke Hai Tajushshariah Mufti, Alim,
Raza Ke Ilm Ka Faizan Jo Baate Zamane Mai

Sa'adat Bhi Wilayat Bhi Karamat Bhi Mili Unko
Shahadat Di Khuda Ne Aur Phir Rutbe Badahne Mai

Wo Hasbe Haal Paehum Deen Ki Khidmat Mai Rahte The
Yahi Ek Jazba Hota Tha Kahi Bhi Aane Jaane Mai

Wo Alim Ba Amal The Aur Qol O Fayel Ke Sachche
Kahi Na Chuke The Baat Wo Sachi Batane Mai

Safeer O Pasbane Maslak-e-ahmed Raza The Wo
Lage Rahte The Har Dum Qom Ka Imaan Bachane Mai

Buland Ikhlaaq Aala Tarf Khush Guftar Aur Sadah
Wo Khush Kismat The Aosaf-e-hameeda
H Rab Se Paane Mai

Raza Ke Chand Ki Likhi Hai Mai Ne Manqabat Akram
Raza Ke Faiz Ka Talib Hu Ab Iske Sunane Mai

~ Hazrat Allama Sayyad Abdul Wahab Akram Quadri, Karachi

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views