Ads 468x60px

Apr 3, 2013

Tauba Ka Mauzo Intehayi Ahem aur...


Tauba ka mauzo intehayi Ahem aur zaroori hai. Ibne Adam Gunahon
ka putla hai. Isse har waqt Chote bade Gunah sar zad hote rehte hain.
Allah Ta’ala bade Raheem O Ghafoor hain. Apne bando par shafaqqat
farmane wale hain. Quran o hadees me ja baja tauba karne ke bare me
targheeb di gayi hai . insane se ghalti ho to usko fauran Apne Rab ki
taraf Rujoo karna chahye. Tauba ki ahmiyat ka andaza is baat se kijye
ke Allah Ta’ala ne Quran paak me Irshad farmaya
“Aye Momino! Tum sab Allah ke samne Tauba (o istighfaar) karo
taake tumhe falaah (kamyaabi) naseeb ho”(24:31)
Bawajood is baat ke ke Allah ke Habeeb Hazrat Muhammad sallallahu
alaihi wasallam Afzalul Khalq, Imamul Ambiya hain, Allah ki zaat ke
baad unhi ka kainaat me darjah hai.
Magar Ap sallallahu alaihi wasallam ka Irshad e Girami hai ke
“Aye logo ! Tauba kiya karo ke mai khud din me 11 martaba Taubah
karta hun. ”
[MUSLIM Kitab Zikr o Dua]
Allah Ta’ala Hum sabko Rozana taubah o istighfaar karne ki taufeeq
ata farmaye..AAMEEN

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views