Ads 468x60px

May 26, 2013

Mere Pyaare Aaqa ﷺ Hazir Wa Nazir Hain... The aur Rahenge...




Sab Jaantey Hain Ki Jab Doosre Nabiyon Ki Qoum kuch Gunah Kare.. Ya Nabi Ki Toheen Kare To Unpar Allah Ka Azaab.. Usi Waqt Aajata Tha... To Ab Dekho

" Aur ALLAH ka kaam nahin ke Azaab karey, jab tak Ae Mehboob
 tum in main Tashreef farma ho"..
[Surah #8: Al-Anfâl, Aayat #33]

Yaani Azaab-E-ILAAHI is liye nahin aata k4 in main AAP
Mojood hain, aur Aam Azaab to Qayaamt tak kisi jagah bhi na Aaye ga, is se maaloom huwa k HUZOOR Qayaamat tak har jagah Mojood hain,

AL-Quran
“Aur Agar Jab vo Apni Jano par zulm kare, To Ae Mehboob tumhare Huzoor hazir hon aur phir Allah se maafi chahein Aur Rasool
unki shafa’at farmae to Zarur Allah kobohot Tauba kabul karnewala Meherbaan Paaein”
[Surah Nisa Verse.64]


Isi Liye to Aala Hazrat, Imam Ahmad Raza Khan (Rahmatullahi Alaih) farmate hain:
Wohi rab hai jisne tujko hamatan karam banaya,
hume bhik mangne ko tera aasra bataya...



Ghour Farmaiye...
Al Quran:
"Ae Mehboob kiya tum ne nahin dekha ke tumharey RAB ne in Haathi waalon ka kiya haal kiya"..
[Parah#30, Surah Feel, Aayat#1]

Allama Abu-ul-Hasan Ali Bin Muhammad Al-Mawardi (370-480 H):
Nabi-e-Kareem
ki Wiladat Waqiya-e-Ashab-ul-Feel ke 50 din baad hui

(Ailam-un-Nabuw a, Page 192)
Pata Chalaa Huzur dunia me Paidaa hone se Pahele bhi Hazir O Nazir hain..



Ab Jo bhi Ise Jhutlaega Wo Pakka Kaafir wa Munafiq Hai....

MERE PYAARE AAQA
HAZIR WA NAZEER HAIN... THE aur Rahenge...


"Quran Bhi Padhliya Karo Ghustaqon Kabhi..."

Al Quran..
BESHAQ ALLAH BEHTAR JAANTA HAI JI KOUN USKI RAAHSE HAI AUR KON USKI RAAH SE MEHROOM HAI..



0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views