Ads 468x60px

Nov 15, 2013

Bhard Do Jholi Meri


Tumhare Aastanay Say Zamana Kya Nahi Paata
Koi Bhi Dar Say Khaali Mangnay Wala Nahi Jata

Bhar Do Jholi Meri Jaan e Aalam
Lout Ker Mein Na Jaoon Ga Khali
Kuch Nawaso Ka Sadqa Ataa Ho,
Dar Pe Aaya Hoon Ban Kar Sawali


Tum Zamanay K Mukhtar Ho Ya Nabi
Bekasoon K Madadgaar Ho Ya Nabi
Sab Ki Suntay Ho Apne Ho Ya Ghair Ho
Tum Ghareebon K Ghamkhaar Ho Ya Nabi

Bhar Do Jholi Meri Jaan e Aalam
Lout Ker Mein Na Jaoon Ga Khali

Hum Hein Ranj-O-Musibat K Maaray Huwe
Sakht Muskhil Se Hain Gham Say Haaray Huwe
Ya Nabi Kuch Khudara Hamein Bheek Do
Dar Pay Aaye Hain Jholi Pasaray Hoay

Bhar Do Jholi Meri Jaan e Aalam
Lout Ker Mein Na Jaoon Ga Khali

Hein Mukhalif Zamana Kidhar Ja'ay Hum
Halat-E-Bekasi Kiss Ko Dikhla'ay Hum
Hum Tumhare Bhikari Hein Ya Mustafa
Kiss K Aagay Bhala Haath Phailaein Hum

Bhar Do Jholi Meri Jaan e Aalam
Lout Ker Mein Na Jaoon Ga Khaali

Kuch Nawasoon Ka Sadqa Ata Hoo
Dar Pay Aaya Hoon Bun Ker Sawali

Haq Say Paayi Wo Shaan-E-Karimi
Marhaba! Dono Aalam Ke Waali
Us Ki Qismat Ka Chamka Sitara
Jiss Pe Nazr-E-Karam Tum Ne Daali

Bhar Do Jholi Meri Jaan e Aalam
Lout Ker Mein Na Jaoon Ga Khali

Jo Ibn-E-Murtaza Ne Kiya Kaam Khoob Hai
Qurbani-E-Hussain Ka Anjaan Khoob Hai


Qurbaan Ho Ke Fatima Zahra Ke Chain Ne
Deen-E-Khuda Ki Shaan Barhai Hussain Ne
Bakhshi Hai Jis Ne Mazhab-E-Islam Ko Hayaat
Kitni Azeem Hazrat-E-Shabbir Ki Hai Zaat
Maidaan-E-Karbala Mein Shah-E-Khush Khisaal Nai
Sajday Mein Sir Kata K Muhammad Ke Laal Nai
Zindagi Bakhsh Di Bandagi Ko
Aabru Deen-E-Haq Ki Bacha Li
Wo Muhammad Ka Pyara Nawasa
Jiss Ne Sajde Mein Gardan Kata Li

Mere Aaqa  Ka Pyara Nawasa
Jiss Ne Sajde Mein Gardan Kata Li


Bhar Do Jholi Meri Jaan e Aalam
Lout Ker Mein Na Jaoon Ga Khali

Hashr Mein Un Ko Daikhein Gay Jiss Dam
Ummati Ye Kahein Gay Khushi Say
Aa Rahe Hein Wo Daikho Muhammad
Jin Ki hai Shaan sabse Niraali.



Mehshar K Rooz Paish-E-Khuda Hoon Gay Jiss Ghari
Hogi Gunaah Gaaron Mein Kiss Darja Bekali
Aatay Hoay Nabi Ko Jo Daikhein Gay Ummati
Ik Dosre Say Sub Yeh Kahein Gay Khushi Khushi

Sir-E-Mehshar Gunaah Gaaron Say Pursish Jiss Khari Hogi
Yaqeenan Her Bashar Ko Apni Bakshish Ki Pari Hogi
Sub He Ko Aas Us Dam Kamli Walay Say Lagi Hogi
K Aisay Mein Muhammad Ki Sawari Aa Rahi Hogi

Pukaray Ga Zamana Us Ghari Dukh Dard K Maaro
Na Ghabrao Gunaahgaaro! Na Ghabrao Gunaahgaaro!
Aa Rahay Hein Wo Daikho Muhammad
Jin K Kaandhay Pay Kamli Hai Kaali

Bhar Do Jholi Meri Jaan e Aalam
Lout Ker Mein Na Jaoon Ga Khali

Sacha Ye Waqia Hai Azaan-E-Bilal Ka
Ik Din Rasool-E-Paak Say Logo Ne Yoon Kaha
Ya Mustafa Azaan Galat Daite Hein Bilal
Kahiye Huzoor Aap Ka Is Mei Hai Kya Khayal

Farmaya Mustafa Nai Yeh Such Hai To Daikhiye
Tapte Sehr Ki Aaj Azaan Koi Aur De
Hazrat Bilal Nai Jo Azaan-E-Sehr Na Di
Qudrat Khuda Ki Dekho Na Mutlak Sehr Hui


Aaye Nabi K Paas Phir Ashaab-E-Ba-Safa
Ki Arz Mustafa Se Ke Ya Shah-E-Ambiya

Hai Kya Sabab Sehr Na Howi Aaj Mustafa
Jibraeel Laaye Aisay Mein Paighaam-E-Kibriya
Pehlay To Mustafa Ko Adab Say Kiya Salaam
Baad-As-Salaam Un Ko Khuda Ka Diya Payaam

Yoon Jibraeel Ne Kaha Khair-Ul-Anaam Say
Ke Allah Ko Hai Pyaar Tumhare Ghulaam Say
Farma Raha Hai Aaj Say Yeh Rub-Be-Zuljallal
K Hogi Na Subah Dein Gay Na Jab Tak Azaan Bilal

Aashiq-E-Mustafa Ki Azaan Mein
Allah Allah Kitna Asar Tha
Arsh Walay Bhi Sunn'tay Thay Jiss Ko
Kya Azaan Thi Azaaan-E-Bilali

Bhar Do Jholi Meri Jaan e Aalam
Lout Ker Mein Na Jaoon Ga Khali

Kaash Purnam Dayyar-E-Nabi Mein
Jeetay Ji Ho Bulawa Kisi Din
Haal-E-Dil Mustafa Ko Sunaaon
Thaam Ker Un K Rozay Ki Jaali


Bhar Do Jholi Meri Jaan e Aalam
Lout Ker Mein Na Jaoon Ga Khaali

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views