Ads 468x60px

Nov 14, 2013

Panjatan Ke Gharane Ki Kya Baat Hai


Ibn e Haidar Ne Dushman Ko Ruswa Kiya,
Panjatan Ke Gharane Ki Kya Baat Hai…
De Ke Sar Deen Ko Phir Se Zinda Kiya,
Panjatan Ke Gharane Ki Kya Baat Hai…

Dushmano Ne Kiya Band Paani Magar,
Sher Hain, Sher Ko Ho Kya Is Ki Khabar,
Dushmano Ko Jahannam Me Pohonchadiya,
Panjatan Ke Gharane Ki Kya Baat Hai...

Ya Hussain Ibn e Haidar Karam Kijiye,
Phir Se Aisa Mujaahid Ataa Ki Jiye,
Karde Fitno Ka Duniya Se Jo Khatima,
Panjatan Ke Gharane Ki Kya Baat Hai...

Mera Abbas Jo Ke Alamdaar Hai,
Zakhm Hai, Pyaas Hai, Phir Bhi Sardaar Hai,
Zakhm Khaaye Hain Phir Bhi Na Shikwa Kiya,
Panjatan Ke Gharane Ki Kya Baat Hai...

Woh Shabi e Nabi, Akbar e NawJawaan,
Jinke Zakhmo Pe Roye Zameen Asmaan,
Karbala Ki Zameen Pe Jo Qurbaan Huwa,
Panjatan Ke Gharane Ki Kya Baat Hai...

Naaz ‘Furqan’ Tum Nisbat Pe Apni Karo,
Unki Taarif Har Aan Karte Raho,
Kaam Aayega Mehshar Me Ye Waasta,
Panjatan Ke Gharane Ki Kya Baat Hai...

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views