Ads 468x60px

Nov 25, 2013

Bilal e Habshi Hamare Aaqa


Wo Ishq e Ahmed Ki Hen Alaamat
Bilal e Habshi Hamarey Aaqa
Kayi Sahaba Pe Hey Fazeelat
Bilal e Habshi Hamarey Aaqa

Guzari Khidmat Me Umar Saari
Nabi Pe Hey Apni Jaan Waari
Hey Pee Inho Ne Ma'ye Muhabbat
Bilal e Habshi Hamarey Aaqa

Badar Sey Lekar Tabook Tak Har
Maqaam Me Paish Paish Rehtey
Rasool Ki Hey Mili Mai'yyat
Bilal e Habshi Hamarey Aaqa

Hey Jaam e Furqat Jisey Pilaaya
Owais e Qarni Unhe Banaya
Mila Hey Jisko Maqaam e Qurbat
Bilal e Habshi Hamarey Aaqa

Bilal Ki Azmaton Pe Qurban
Jinhey Khareeden Habeeb e Rehman
Lagayen Siddique Jinki Qeemat
Bilal e Habshi Hamarey Aaqa

Ahad Ahad Ki Sadaa Zuban Par,
Baney Huey Hen Raza Ke Paikar
Kamaal Hey Inki Isteqaamat
Bilal e Habshi Hamarey Aaqa

Rasool Ne Di Yahi Bashaarat
Suni Hey Qadmon Ki Unke Aahat
Jo Waqt e Meraj Puhnchy Jannat
Bilal e Habshi Hamarey Aaqa

Wo Yaad e Moula Me Mehw Rehtey
Wuzu Ko Qaaim Hamesha Rakhtey
Wo Kartey Raato Me Bhi Ibaadat
Bilal e Habshi Hamarey Aaqa

Azaan Aisi Kisi Ne Di Hey
Ke Jab Wo Len Naam Mustafa Ka
To Horahi Ho Unhe Ziyaarat
Bilal e Habshi Hamarey Aaqa

Guzar Gaya Jab Ke Waqt e Aksar
Bulaya Aaqa Ne Phir Se Darr Par
Sunayi Sabko Azaan e Ulfat
Bilal e Habshi Hamarey Aaqa

Baroz e Mehshar Bhi Faiz Paayen
Sawari Aaqa Ki Wo Chalayen
Rasool Ke Saath Jayen Jannat
Bilal e Habshi Hamarey Aaqa

Hua Hey Dil Jab Tera Thikana
Nabi Ki Ulfat Ko Us Ne Jaana
Tumhari Midhat Nabi Ki Midhat
Bilal e Habshi Hamarey Aaqa

BiLAL Naazan Na Kyun Ho Tum Par
Tumhara Charcha Sunaye Ghar Ghar
Ke Paayi Jis Ne Tumhari Nisbat
Bilal e Habshi Hamarey Aaqa

Written by: Hafiz Bilal Qadri

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views