Ads 468x60px

Jun 13, 2013

10 baatein...

1-Zubaan hi dost ko dushman aur dushman ko dost banati hai,

2-Duniya ko fateh karna aasan hai aur khud ko fateh karna bahot mushkil,

3-Apni galatiyo ko tasleem karne waala kabhi nahi bhatak sakta,

4-Achhi zindagi us shama ke manind hai jo khud jal kar doosro ko roshni deti hai,

5-Duniya me daolat jama karna is liye bewaqoofi hai ki kafan me jeb nahi hoti,

6-Kisi ko dhoka mat do dhoka dena musalmano ki shaayaan-e-shaan nahi,

7-Jaha sadaqat aur khuloos nazar aaye waha dosti ka haath badhao warna tanhayi behetreen rafeeq hai,

8-Tumhare paas jab insan ko dene ke liye kuch na ho to use muskurahat ke do phool hi dedo,

9-Jab bhi kisi doosro ki aib joi karte paao to use apne dosto ki fahrist se khaarij kar do,

10-Bure aadmi achchhi baato me bhi buryi dhoondte hai jis tarah makkhi poora khoobsorat badan chhod kar zakhm par baithti hai,

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views