Ads 468x60px

Jun 15, 2013

Waseela Kya Hai?


اَلْسَّلَامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَتُه الله وَبَركَا تُه

★ Allah Se Dua Karne Me Kisi Nabi Ya Wali Ko Bataure Wasile Ka Zikr Karna Jaiz Hai.
-: (Tirmizi, Jild-2, Safa-198)
★ Wasile se Dua Kabool Hoti Hai : Farman-e-Quraan-e-Kareem ★
""
""
Al-Quran "" "" » Allah Paak Ka Irshad-e-Aalishan Hai Jis Ka Mafoom Hai
“Tumhara Madadgar Allah, Uska Rasool Aur Saleh Momineen Hain”
-: (Sura-E-Maida: Ayat-55)
""
"" Al-Quran "" "" » Beshaq Allah Bhi Madadgar Hai Aur Hazrat Jibraeel
Alaihis Salam Bhi Madadgar Hain Aur TamamAuliya Allah Bhi Madadgar Hain”
-: (Sureh: Tehreem, Aayat-4)
Allah Ki Taraf Waseela Sarkar (Sallallahu Ta’ala Alayhi Wasallam) Hain Aur
Sarkar Ki Taraf Wasila Sachcha Peer Hai.
★ Farmaan-E-Gaus-E-Aazam (Radiyallahu Ta’ala Anhu)
Jab Tum Khuda Se Koi Hajaat Talab Karo Toh Mere Wasile Se Talab Karo
-: (Bahjatul Asrar Safa.57)
★ Nabi-E-Paak (Sallallahu Ta’ala Alayhi Wasallam) Ne Farmaya:
Jab Azan Suno Toh Jawaab Do, Phir Mujh Par Durood Padho,
Aur Mere Wasile Se Dua Maango.
-: (Sahih Muslim Safa:203, Hadees:384)

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views