Ads 468x60px

Jun 9, 2013

Gaar-e-Sor Ka Saanp...

Kya aap jante hain?
 ->Gaare-e sor ka woh Saanp jisne hijrat ke mauqe par Hazrat Siddiq Akbar radiAllahu anh ke angoothe ko dasa tha,woh Sanp Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki ziyarat ke liye Saal se mutazir tha?

-> Tajul Qasas me hai ke,,, ek roz ek Sanp Hazrat Eisa Alaihissalam ki khidmat me hazir aaya,aur arz kiya: Ya Ruhullah! Raah Makka kidhar hai? Aap ne puchha tujhe Raah Makka se kya matlab? Us Sanp ne kaha: ya NabiAllah 600 Saal hogaye ke mere Dil me Ishq-e Muhammadi jaaguzin huwa - ab faraq me Dil sokhta aur tan gudakhta horaha hu-! Hazrat Eisa Alaihissalam ne farmaya: abhi Dil naa saboor ko Sabr de ke mere aur unki Tashreef aawri me 600 Saal dar pesh hain.
Us sanp ne kaha : meri to Rag-o pe me Muhabbat Muhammadi par hai - taskeen Dil Makhzun farmayen aur azraah-e karam Makka ka rasta batayen-.
Mere liye yahi bihtar hai ke mai apne Mahbub ki yad me Jaan dedu! Chunanche! Hazrat Eisa alaihissalam ne us Sanp ko Rasta dikhaya,aur woh Sanp badi mihnat mushaqqat karke apni manzil Makka shareef ke Gaar-e sor me aakar Nabi sallallahu alaihi wasallam ka Muntazir raha.
Aur ye bhi manqul hai ke woh Sanp rozaana Shauq-o Deedar me 70 baar apne surakh se bahar nikalta tha. (MuarijunNubuwwa rukn chaharam)
Jis Makdhi ne Hijrat ke Mauqe par Gare sor ke charo tarf Jaala tana tha usse mutalliq bhi ye Qaul milta hai ke woh Makdhi 700 Saal se us Gaar me muntazir baithi thi.(muaarijunnubuwwa safa 7 rukn chaharam)
.
SubhanAllah!! Allahu Akbar!!
qurbana jana chahiye apne piyare Aaqa Sallallahu alaihi wasallam par ye ishq woh bhi janwaron ka.Allahu Akbar,aur aaj ham bhi hai jo ishq ka dawa to karte hai magar unke bataye huwe raste par nahi chalte aaj hamme kitni burayiyan hai woh khud ham jante hain.Allah pak se duwa hai ke ham sab ko sahi mano me sacha Ashiq-e Rasul bana aur apne Aaqa ki har har Sunnat pe chalne ki Taufeeq dede Ameen ya Rabbal Aalamin.
Aur plz jo mujhse likhne me galti hui ho to plz aap sab maaf farmayen JazakAllah

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views