Ads 468x60px

Jun 5, 2013

Dua Ka Ihtimam


Duaa Momin ka hathiyar hai,aur dua Ibdat ka magz bhi-dua ke ma’ne pukarna,bulana,mangna aur sawal karna hai,jistarah ibadat khalis Allah ke liye hai isi tarah dua bhi khalis Allah ke liye honi chahiye,dua se Ibadat karne walon ko Taqwiyat milti hai.

ALLAH paak ne bandon ko dua karne ki takeed farmayee hai.(ادعونى استجب لكم) yani,mujhe pukaro mai tumhari pukar ko sunta hu….. banda jab dua karta hai to kabhi kabhi duniya me bande ki duayen qubool nahi hoti,jin duaon ke asrat duniya me zahir nahi hote woh Aakhirat ka zakheerah banjati haiN.
ALLAH paak ne bandon ko dua mangne ka tareeqa bataya hai, “ALLAH PAK FARMATA HAI” apne Rab ko pukaro gidh gidhate huwe aur chupke chupke-yaqenan woh had se guzarne walon ko pasand nahi karta- zameen me fasad barpa na karo jabke uski islah hochuki hai,aur Khuda hi ko pukaro khauf ke sath aur tam’a ke sath,yaqinan Allah ki Rahmat nek kirdar logon ke sath hai. (surah eraf:ayat 55,56)

Shaitan hamara khula Dushman hai,woh har waqt koshish karta hai ke kisi tarah insane ko galat rah par lejaye,burayee par uksaye,nek logon ko raahe rast se hata ke gumrah-o barbad kare, kisi tarah insan ko galat raah par le jane ke liye jaal bichhaye rahta hai.
Shaitan ke bichhaye huwe jaal se wahi shakhs bach sakta hai jisko Allah ki panah milgayee ho,isliye dua sikhayee gayee hai. “dua karo ke parwar digar” mai shayatin ki targibat se teri panah mangta hu balke ai RAB!mai to usse bhi teri panah mangta hu ke who mere paas aaye….(surah al muminun ayat 96,97)
Roz marrah ki zindagi me Momin se aise bhi gunah hojate haiN jiska use ihsas bhi nahi hota. Lekin Allah pak aise gunahon par bhi girif fermane wala hai,lihaza hame un gunahon ki bhi muaafi mangni chahiye jo anjane me huwe aur har waqt duaon ke zariye ALLAH pak se magfirat talab karni chahiye.


0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views