Ads 468x60px

Jun 12, 2013

Imam e Aazam Abu Hanifa....

Imam e Aazam ki wilaadat 80 hijri mein Iraq k shaher kufa me hui.
Aap tabaeen ki jama'at me se hain.
Kayi Sahaba se mulaaqaat ka sharf haasil hua jinme haz. Anas bin Maalik, Sahl bin Saad, Abul Tufail Amir jaise ajillah sahaba shaamil hain.
Imam e Aazam k ustaad taqreeban 4000 hain jinme Imam Baaqar aur Imam Jaafar e Saadiq bhi hain.
Aap har juma apne walidain ke isaale sawab ke liye 20 sone ke sikke garibon me taqseem farmate the.
40 saal tak isha ke wazu se fajr ki namaz adaa farmaye.
55 martaba hajj farmaya.
30 saal musalsal roze se rahe(saal me 5 rozon ke ilawa)
Aksar ek ya do rakat me quran e paak khatm farmate the.
Jis maqaam par rooh qabz hui aapne wahan 7000 quran khatm farmaye.
Aapka wisaal 2 shaabaan 150 hijri me Baghdad e muqaddas me hua.
Aapki namaz e janaza 6 martaba padhayi gayi aur har baar 50 hazaar logon ne namaz padhi.
2 shaabaan me khususan Is azeem Imam ko khoob Isaale sawaab karein aur inka zikr aam karein.

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views