Ads 468x60px

Jun 30, 2013

Huzoor ﷺ Jaante Hain...


 Jo ho chuka hai jo hoga, Huzoor  jante hain, Teri aata say Khudaya, Huzoor  jaante hain.

Khuda ko dekha nahin aur eik maan liya, Ke jantay thay sahaba, Huzoor  jaante hein

Kai unke haath mein kya kya tujhe khabar na mujhe, Khuda nay kitna nawaza, Huzoor  jaante hain.

Woh mominoon ki to janoon say bhi kareeb huye, Kahan say kisnay pukara, Huzoor  jaante hain.

Isiliye to sulaya hai apne pehlu mein, Ke yaar e ghar ka rutba, Huzoor  jaante hain.

Umar nay tan say juda kar diya tha sar jis ka, Woh apna hai ke paraya, Huzoor  jaante hain.

Nabi ka faisla na maan kar woh jaan say gaya, Mizaaj Umar ka hai kaisa, Huzoor jaante hain.

Wohi hai paikar e sharm o haiya o zul nuraian, Maqaam unki haya ka, Huzoor jaante hain.

Hain jiske Moula Huzoor uske hain Ali Moula, Abu Turab ka rutba, Huzoor jaante hain.

 Yeh khud shaheed hain, betay nawasay potay shaheed, Ali ki shaan e yagana, Huzoor jaante hain.

Main unki baat karoon yeh nahin meri auqaat, Ke shaan e Fatma Zahra, Huzoor jaante hain.

Jannat mein kaun hain sardaar nojawanoon kay, Hasan, Hussain ke nana, Huzoor jaante hain. 

Malaika ne kiya youn to sajda Adam ko, Dar asal kis ko tha sajda, Huzoor jaante hain.

Kahan marein gay Abu Jahal o Utba o Sheiba, Ke Jang e Badr ka naqsha, Huzoor jaante hain.

Woh kitna fasla tha, aur kalaam tha kaisa, Aao adna aur ma aaoha, Huzoor jaante hain.

Milay thay rah mein 9 bar kis liye Musa, Yeh deed e haq ka bahana, Huzoor jaante hain.

Main chup khara houn Mawaja pay sar jhukaye huye, Sunaoon kaise fasana, Huzoor jaante hain.

Chupa rahe hai lagatar mere aiyboon ko, Main kis qadar houn kameena, Huzoor jaante hain.

Nahi hai zaad e safar pass jin ghulamoon ke, Unhein bhi dar pe bulana, Huzoor jaante hain.

Haran ne oonth ne chiryoon ne ki yehi faryaad, Ke unkay gham ka madawa, Huzoor jaante hain.

Khuda hi jaanay UBAID unko hai pata kiya kiya, Hamein pata hai bus itna, Huzoor jaante hain.



3 comments:

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views