Ads 468x60px

Jun 29, 2013

Jalwa hai noor hai ke sarapa RAZA ka hai...


Jalwa hai noor hai ke sarapa RAZA ka hai,
Tasvir-e-Sunniyat hai ke chehra RAZA ka hai.
Vaadi Raza ki Kohe-Himala RAZA ka hai,
jis simt dekhye woh ilaqa RAZA ka hai.
Dastaar aa rahi hai, zamin par jo sar oothe,
itna buland aaj farera RAZA ka hai.
Kis ki majaal hai jo nazar bhi mila sake,
Darbar-e-Mustafa may thikana RAZA ka hai.
Alfaz beh rahe hai, dalilo ki dhar par,
chalta hua qalam hai ke dhara RAZA ka hai.
Chuta hai aasman ko minar azm ka,
yaani atal pahad irada RAZA ka hai.
Nuqte ibarato se ubharte hai khud ba khud,
naqto-nazar pe aisa ijara RAZA ka hai.
Dariya fasahato ke rawa(n) shayri may hai,
ye zehne mumtane hai ke lehja RAZA ka hai.
Jo likh diya hai oosne, sanad hai woh din may,
Ahle qalam ki aabroo nuqta RAZA ka hai.
Aglo ne to likha hai bahut ilm-e-deen par,
jo kuch hai iss sadi may woh tanha RAZA ka hai.
Is daure purfatan may NAZAR khush-aqidgi,
Sarkaar ka karam hai vasila RAZA ka hai.

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views