Ads 468x60px

Jun 26, 2013

Bhediye Ki Gawahi...


Madina Munawwara Ke Kisi Makaam Par Ek Charwaha Apni Bakriya Chara Raha Tha Ki Achanak Ek Bhediya Aaya Aur Bakriya Ke Rewad Me Ghuskar Ek Bakri Ka Shikaar Le Bhaaga.
Charwahe Ne Dekha To Usne Bhediye Ka Picha Kara Aur Usse Bakri Aazad Kar Di.
Bhediye Ne Jab Dekha Ki Mera Shikar Mujhse Cheen Liya Gaya Hai To Ek Tile ke Paas Chadkar Ba-zabane Fasiha Kahne Laga:
Miya Charwahe!
Allah Ne Mujhe Rizk Diya Tha Magar Apsos !Ki Tune Mujhse Cheen Liya.
Charwahe Ne Jab Ek Bhediye Ko Kalam Karte Huwe Dekha To Hairaan Hokar Bola:
Taujub Hai Ki Ek Bhediya Bhi Kalaam Karta Hai.Bhediye Phir Kalam Kiya Aur Kaha:
Isse Bhi Taujub Wali Baat To Ye Hai Ki Madina Shareef Me Ek Aisa Wajud Maujud Hai Jo Tumhare Jo Kuch Ho Chuka Hai Aur jo Kuch Aainda Honewala Hai Un Sab Agli Pichli Baaton Ki Khabar Deta Hai Magar Tum Us Par Imaan Nahi Laate.
Charwahe (Jo Yahudi Tha)Bhediye Ke Is Gawahi Sunkar Bada Mutaaseer Huwa Aur Bargahe Risalat Me Hazeer Hokar Imaan Layaa.
~~~~~~(MISHKAAT SHAREEF,SAFA 533)~~~~~~

Isnad (chain of narrators) for this hadith is (Jayid) Authentic. Hafiz Ibn Kathir – [Taareekh: Chapter of Miracles of RasoolAllah [salal allahu allayhi wa sallam]

~~~~~
SABAK:
~~~~~

Ek Jaanwar Bhi Janta Hai Aur Manta Hai Huzoor (sal-lal-lahu alai hi wa sallam) Ko.

»»»► Magar Ek Baraye Naam 21vi Sadi ka SADAKCHHAP NALAYAK (24) Insaan Bhi Hai Jo Huzoor (sal-lal-lahu alai hi wa sallam) Ke Liye Deewar ke Piche Ka Ilm Bhi Tasleem Nahi Karte. (Ma'azallah)

0 comments:

Post a Comment

Enter your Comment here...

 

Visitor's Traces

Total Page views